Roza Ke Masail: JIN CHEEZO SE ROZAH NAHI TOOT TAA
14- Rozeh daar ne dawa chakhi aur us ka mazah apne halaq me mehsoos kiya,
lekin dawa halaq me nahi gai to rozah nahi tootega.
15- Dil ki beemari me jo goli zaban ke neeche rakhi jaati hai aur wo wahin
pighal kar khatm ho jaati hai us se rozah nahi toot ta ,lekin agar dawa ke
kuch tukde thook ke saath mil kar halaq ke raaste se andar chale jaayen to
rozah toot jaye ga, is liye ehtiyaat behter hai.
16- sakht zaroorat ke waqt muh me dawa lagana jayez hai ,aur baghair
zaroorat ke makroowah hai, agar dawa pet ke andar chali jaye to us se
roza toot jata hai.
17- koila chaba kar daant saaf karna aur manjan ya toothpaste se daant saaf
karna makrooh hai aur agar us me se kuch halaq me utar jaye to roza
toot jaye gaa.
18- Miswaak se daant saaf karna durust hai chahe sukhi miswaak ho ya taazi
usi waqt ki todi huvi, agar neem ki miswaak hai aur us ka kadwa pan
muh me maloom hota hai tab bhi makrooh nahi.
19- Miswaak ka koi resha ittefaaq se saans ke saath andar chala jaye to is
se roza nahi toote gaa.
20- Raat ko nahane ki zaroorat hui magar gusl nahi kia, Din ko nahaya tab
bhi rozah hogaya balke agar din bhar naa nahaye tab bhi rozah nahi toot taa,
haan! Is ka gunaah alag hogaa.
21- injection yaa kisi bhi taraah kaa teeka lagane se rozah nahi toot taa.
22- agar kisi zaroorat se glucose chadhwaa liya jaye tab bhi rozah nahi toot
taa.
23- sirf rozeh ki mashaqqat aur takleef kam karne k liye glucose chadh waana
makroowah hai phir bhi rozah nahi toot taa.
24- isi taraah khoon chadh waane se bhi rozah nahi toot taa.
25- fas'd khulwaane ( venesection ) aur kisi mareez ke liye khoon dene
( blood donation ) se bhi rozah nahi toot taa.
26- rozeh ki halat me khoon nikaal kar test karaane se rozah nahi tootegaa;
lekin itnaa ziyadah khoon naa nikal waye k kamzori aajaaye.
27- Agar Aa'nsu ya paseene ka ek aadah qatraa muh me khud ba khud chala gaya
aur namkeen pan mehsoos hua to rozah nahi toota, lekin agar itni zaadah
miqdaar me aa'nsu yaa paseenah muh me chala gaya k poore muh me namkeen pan
mehsoos hua aur phir us ko nigal liya to rozah toot gaya.
28- din me surma lagana, Tail lagana, khush bu soonghna durust hai, Is se
rozeh me kuch nuqsaan nahi aata, Chahe jiss waqt ho balke agar surma lagane
k baad thook yaa re'nth me surme kaa rang dikhai de to bhi rozah nahi
tootega aur naa makroowah hoga.
29- Aankh me dawaa daalne se rozah nahi toot taa bhale hi dawaa ka mazah
halaq me mehsoos ho.
30- nazlah waghairah ke waqt jo "Vicks" waghairah lagaya jaata hai. Jis ki
tezz khush bu dimaagh tak pohonchti hai, Is ke istemaal se rozah nahi toot
taa.
31- saans ke zariye oxygen (oksigen) lene se rozah nahi toot taa.
32- Aap hi aap qey (vomit) hogai .chahe thodi huvi ho yaa ziyadah yaani muh
bhar kar huvi ho. Phir chahe wo muh se bahar nikal aai ho yaa aap hi aap
halaq me chali gai ho rozah nahi toot taa.
33- Agar apne ikhtiyaar se qey(vomit) ki ho . Aur muh bhar se kam ho. Phir
chahe muh se bahar nikal aai ho yaa khud ba khud halaq ke andar chali gai ho
rozah nahi toot taa.
34- agar kai majliso'n ( baithak ) me thodi thodi qey (vomit) apne ikhtiyaar
se ki ho yaa ek dafa'a subaah ko phir do paher ko phir shaam ko qey ki ho.
Phir agar usko jama'a kiya jaye to muh bhar hone ki miqdaar ko pohonch jaye
to rozah nahi toote gaa.
35- sone ki halat me mani nikalne se jisko ehtelaam ( nightfall ) kehte hai
rozah nahi toot taa.
36- isi tarah agar kisi aurat ko dekhne yaa uska khaas hissah dekhne se yaa
sirf kisi baat ka khayaal dil me karne se mani nikal jaye tab bhi rozah nahi
toot taa.
37- rozeh ki haalat me mazi nikal ne se rozah nahi toot taa.
38- aurat ka bosa lena aur use gale lagana makrooh hai. Jab k inzaal ( mani
nikal ne ) ka darr ho ya be qaabu hokar ham bistari kar lene ka darr ho. Aur
agar ye dar na hoto phir makrooh nahi. Aur agar inzaal ( mani nikalna ) hogaya
to rozah toot jaaye gaa.
39- kisi aurat ke hont muh me lena aur badan ke khaas hisse ko bagair kapde ke
aapas me milana dakhil kiye baghair, har haal me makrooh hai. Chahe inzaal (
mani nikalne ) aur ham bistari ka khof ho yaa naa ho. Aur inzaal hojaye to
rozah toot jaata hai.
40- aur agar rozeh daar ke kaan me ghusul karte huve yaa barish me bheegte
huve yaa darya me nahate huve bagair ikhtiyaar k kaan me paani chala jaye to
us se rorah nahi toote gaa.
41- aur agar apne iraade se kaan me paani daala hai to is silsile me ulama ka
ikhtilaaf hai. Baaz ne kaha: rozah toot jaye gaa aur baaz ne kaha: rozah nahi
toote gaa ; isliye rozeh ki halat me kaan me paani daalne se bachna chahi ye.
42- sar ke zakham me dawa lagane se rozah nahi toot taa.
43- kaan kaa mail nikaal ne se bhi rozah nahi toot taa. Chahe kitni hi baar
kaan me salai daali jaye.
( MASAIL E BEHISHTI ZEWAR, KITABUL MASAIL )
MUFTI YASIR AMAN QASMI
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.