Ramadan SPL: ITIKAF KA WAQT
🔴AAJ KA SAWAL NO. 2823🔴
Sunnat aetikaf ka waqt kya hai ? masnoon aetikaf kitne dinom ka karna
zarooree hai?
🔵JAWAB🔵
Ramzan mubarak ke ashrah e akheerah yani Aakhri das [10] rozon ka aetikaf
sunnat hai.
(Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne madine me aakar kabhi bhi nahi
chhoda)
Is ki shurooaat urdu 20 bis tareekh-roze ki guroobe aaftaab ke waqt
se hoti hai
(India aur us ke taraf ke mulkon me is sal 1443 hijri or 2022 me 22 April
juma ke din guroobe aaftaab (sunset) pehle motakif (aetikaf karne wala) ko
bethna zarooree hai)
aur eid ka chand dikhte hi aetikaf khatm ho jata hai.
chand chahe 29 untees ka ho ya 30 tees ka ho donon sooraton me sunnat adaa
ho jati hai
📗[BAHISHTEE ZEWAR HISSA 11 SAFA 107 SE MAKHOOZ]
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.