Ramzaan Spl Zakat: Zakat ki adaaygi ke liye niyat Ada e zakat bhi zaruri hai
⇨ Jis waqt zakaat ka Rupiya vagera kisi mustahiq ko de, us waqt dil me ye
niyat zarur kar lena chahiye k me zakaat Ada karta hu’n,
★ Agar kisi ne yu’n kiya k Zakaat ki raqam hisaab karke alag karke rakhi k jab
mustahiq aa jaenge to deta jaunga, to ye niyat bhi kaafi ho jaegi, fir chahe
dete waqt niyat na kare,
↳ ® Ba- Hawala— Sharah Bidaya, 1/180
★ Agar kisi mustahiq ko zakaat ka maal dete waqt Ada e zakaat ki niyat nahi ki
to jab tak wo maal us gareeb( Jisko zakaat di gayi) ke paas mojood he, us waqt
tak bhi niyat kar lena durust he, Ab niyat karne se bhi zakaat Ada ho jaegi,
⇨ Albatta faqeer ke paas se us maal ke kharch ho Jane ke baad niyat ki to us
niyat ka aitbaar nahi, Ab dobara zakaat dena padegi,
↳® Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/16,
📘 Fiqhul ibadaat, 292,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
✍ Haqq Ka Daayi ,
http://www.haqqkadaayi.com/



.jpg)


No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.