ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Ramadan SPL: Laylatul Qadr is Ummat ki Khususiyat
SHAB – E – QADAR
❖_ Laylatul Qadr sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat ki khususiyat
hai, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu
Alaihivasallam ne farmaya :-
“ Ye muqaddas Raat faqat meri Ummat ko ataa farmayi hai Saabqa Ummato mai se
ye Sharf kisi ko bhi nahi mila ,”
(Durre Mansoor- 6:371)
❖Mufassireen Kiraam likhte hai’n k Pehli Ummato mai Aabid use Qaraar diya jata
tha Jo Hazaar Mahino tak ibaadat karta ,Lekin Nabi Kareem Sallallahu
Alaihivasallam ke Sadqe mai is Ummat ko ye Fazilat haasil hui WO ek Raat ki
ibaadat se isse behtar muqaam haasil kar leti hai ,Allah Ta’ala ne is Ummat ke
afraad ko ye Shabe Qadr ataa kar di Jiski ibaadat is hazaar Maah se behtar
qaraar di gayi ”
( Fatahul Qadeer -5:472)
❖Goya k ye Azeem niyamat bhi Sarkare Do Jahaa’n Sallallahu Alaihivasallam ki
gulami ke Sadqe mai is Ummat ko naseeb hui hai
Fazilate Shabe Qadr
❖Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi hai k Janabe Rasulullah
Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
“Jis Shakhs ne Shabe Qadr mai Ajro Sawab Ki Ummeed se ibaadat ki uske Pichhle
gunaah maaf kar diye Jate Hai’n_”
(Sahih Bukhari-1/270)
❖_Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi hai k Ramzanul Mubarak ki aamad per ek
martaba Rasulullah Sallallahu
Alaihivasallam ne farmaya :-
“ Ye Jo Maah tum per aa raha hai usme ek esi Raat hai Jo hazaar Maah se afzal
hai ,Jo Shakhs is Raat se Mehroon reh gaya Goya WO saare khair se Mehroon raha
aur is Raat ki bhalaai se wahi Shakhs Mehroon reh sakta hai Jo waqatan Mehroon
ho”
(Sunan ibne maaja:20)
❖_Ese Shakhs ki mehroomi mai waqaatan kya shak ho sakta hai Jo itni badi
ni’amat ko gaflat ki vajah se gawa de , Jab insaan mamooli mamooli Baato ke
liye kitni Raate jaag kar guzaar leta hai to Assi Saal ki ibaadat se Afzal
ibaadat ke liye chand raate kyu na jaage? Jis Raat mai Jibreele Ameen farishto
ke saath utarte ho aur ibaadat karne walo ke liye Duae magfirat karte ho,
ʀεғεʀεηcε ↴*
*📕Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
http://www.haqqkadaayi.com
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.