Ramadan Spl: AETIKAF KI QISME AUR TAREEQAH
AAJ KA SAWAL NO.2822
- Aitekaf kise kehte hai?
- Us ki kitni qismen hai?
- Aur aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?
🔵JAWAB🔵
Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt
ki namaz baa-jamaat hoti ho aetikaf kehte hai.
Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,
Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner)
ko makhsus (tay) kar den,
Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai
ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur
muft ka sawab bhi leti rahe,
Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti
hai,
Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,
1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera
fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par
mawquf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar
liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib
hai.
2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnate muakkadah alal kifayah hai,yani pure
muhalle ki kisi bhi masjid me aetikaf na hoga to pura muhallah gunehgar
hoga.har muhalle~chhoti basti ki kisi bhi ek masjid me aetikaf karna
zarooree hai.
FATAWW DARUL ULOOM JILD 4 SAFA 501 BAHAWALA DURRE MUKHTAR
Ye Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem
sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki
aesi thi ke hijrat ke baad puri zindagi kabhi nahi chhoda ek martaba safar
ki wajha se chhuta to us ke baad ke sal me 20 din ka aetikaf kar ke us ki
talafi ki.
3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna
ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len
tab bhi jaiz hai,
imam abu haneefah r. a. ke shagird Imaam muhammad rh.Ke nazdeek thodi der
ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai
ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz
wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.