MASAIL-E-ZAKAT: SHADI KE LIYE RAKHE HUVE & MAKAAN BANANE KE LIYE JAMA KI HUVI RAQAM PAR ZAKAAT
1- SHADI KE LIYE RAKHE HUVE ZEWARAAT PAR ZAKAAT
2- MAKAAN BANANE KE LIYE JAMA KI HUVI RAQAM PAR ZAKAAT
▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦▦
◼1- SHADI KE LIYE RAKHE HUVE ZEWARAAT PAR ZAKAAT
Agar baap yaa maa ne bachchi yaa bachche ki shaadi ke liye zewaraat banakar
rakhe hai aur wo abhi bachcho'n ke hawale nahi kiye gaye; balke apni hi
malkiyat me hai to unki qeemat par maa yaa baap par zakaat wajib rahe gi.
Aur agar bachcho'n ki malkiyat me dediye hai to jab tak wo nabaligh hai unpar
zakaat wajib naa hogi; aur baligh hone ke baad agar nisaab waghaira ki sharait
poori hoti ho to saal guzar ne par unpar zakaat wajib hogi.
◼2- MAKAAN BANANE KE LIYE JAMA KI HUVI RAQAM PAR ZAKAAT
Kisi shakhs ne makaan banane ke liye raqam jamaa kar rakhi thi, us darmiyaan
zakaat ki adaigi kaa waqt aagaya to uspar jama ki huvi raqam ki zakaat adaa
karna bhi laazim(zaruri) hai.
📓(Kitaabul masail , 2 / 220)
MUFTI YASIR AMAN QASMI
AHMEDABAD GUJRAT
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.