A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir
Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 30th April, 2022
28th Ramaz'an, 1443 Hijri
"1" Tumhaari woh ladki jo (talaaq ya shauhar ke marne ki wajah se)
laut kar tumhaare hi paas aa gayi ho aur us ke liye tumhaare siwa koi
kamaane waala na ho (toh aisi ladki par jo bhi kharch kiya jaayega woh
behtareen sadqa hai."{Ibn-e-maaja:3667}
"2" Qarz ki adaaigi par qudrat ke baawajood taal matol karna zulm
hai."{Muslim:4085}
"3" Mo'min ki tabeeat wa fitrat mein har aadat ho sakti hai, siwaaye
khayaanat aur jhoot ke."{Musnade ahmed: 22170}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (254th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.