Hadees: Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º
Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din
Hazrat Aadam Alaihissalam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki
gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is
roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud
Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah ï·º Hamara
Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,
to Aap ï·º ne farmaya Allah taala ne Ambiya karam ke Jism ko Mitti par haram kar
diya hai.
Allahumma Aalli Ala Muhammadin Wa Aale Muhammad(O Allah, send your grace, honour and mercy upon Muhammad and upon the family of Muhammad)
📔 (Abu Dawood, 1035, 1047)
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.