Dua: Khauff ke waqt padhne ki dua
✬ Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramaya main kis tarah aaram karu jabki
usne(israfil Alaihi salam ne) soor mein munh lagaya hua hai aur unke kaan
Allah subhanahu ke hukm ke muntazir hain ki wo kab phunkne ka hukm de de aur
wo phunk de ye baat Sahaba Radi Allahu Anhu ke dil par sakht (gamnaak) guzri
to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya tum kaho
ØَسْبُÙ†َا اللَّÙ‡ُ ÙˆَÙ†ِعْÙ…َ الْÙˆَÙƒِيلُ عَÙ„َÙ‰ اللَّÙ‡ِ تَÙˆَÙƒَّÙ„ْÙ†َاHasbunAllah Wa Naimal Wakeel AlaAllahi Tawakkalna
Yani hamare liye Allah kaafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai aur Allah hi par
hum bharosa rakhte hain
Jamia Tirmizi, Jild 2, 322-Hasan
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.