A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir
Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 6th November, 2021
30th Rabi-ul-awwal, 1443 Hijri
"1" Insaan jab mar jaata hai,toh 3 kaamon ke alaawa us ke amal ke
sawaab ka Silsila khatam ho jaata hai: 1.Aisa nek kaam jis ka nafa logo Ko
(us ke marne ke Baad bhi) milta rahe, 2. woh ilm jis se log faaida
uthhaayein, 3. aisi nek aulaad jo us ke liye dua Karti rahe."(Muslim:4310)
"2" Jab tumhein koi shakhs salaam kare to tum us se bhi behtar tareeqe par
salaam karo (jawaab do) ya (Kam az kam) un hi Alfaaz mein us ka jawab de
do."(Sura-e-Nisa:86)
"3" Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuch sune (bila
tahqeeq) use bayaan karta phire."(Muslim:7)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (78th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.