A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir
Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 29th August, 2021
19th Moharram, 1442 Hijri
"1" Aadmi do cheezon ko na pasand karta hai, (haalaanke dono us ke
liye behter hain) ek Maut ko, halaanke Maut momin ke liye fitnon se bachaao
hai, doosra MAAL ki kami ko, halaanke jitna maal kam hoga utna hi hisaab kam
hoga." (Masnad-e-Ahmed: 23625)
"2" Woh Musalmaan jis ki (logon ko) maa'f karne ki aa'dat thi, woh Jannat me
jaane ka haqdaar hain." (Kanzul-a'maal: 7015)
"3" Tangi aur khush haali dono haalatau me, ALLAH Ta'ala se daro." (Kanzul
a'maal: 5628)
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (9th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.