Bismillahirrahmanirraheem
Jisne raat mein yakeen ke sath ye padha aur subah hone se pahle uski maut
huyee to wo Jannati hai
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah
se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai, jisne is dua ke alfaaz
par yaqeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone
se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai.
--------
Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta,
Khalaqtani wa ana abduka,
wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu,
Awuzu bika min sharri ma sana'tu,
abu'u Laka bini'matika 'alaiya,
wa Abu'u Laka bizambi
fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
---------
Tarjuma: Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi
mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq
tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee
se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar
karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta
hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala
nahi
Sahih Bukhari, Vol 7, 6306
-




.jpg)

No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.