A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem
AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
☀ 28th July, 2021
17th Zilhajja, 1440 Hijri
"1" Jis ko ALLAAH Ta'ala aulaad de toh us ka achcha naam rakhna chaahiye aur us ki ahchi tarbiyat karna chaahiye, aur jab woh baalig ho jaaye toh us ki shaadi kara dena chaahiye, agar baalig hone ke baad shaadi nahi karaaye aur woh gunaah mein mubtela hoga, toh us ka baap us gunaah ka zimmedaar hoga."{Sho'abul imaan:8299}
"2" Rasoolullahï·º jab bachchon ke paas se guzarte to khud un bachchon ko salaam kiya karte the."{Tirmizi:2696}
"3" Jo shakhs ALLAAH aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho, to use chaahiye ke rishtedaaron ke saath achchha sulook kare."{Bukhaari:6138}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (343rd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.