*A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir
Raheem*
*AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai*
*Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH*
☀ 23rd June, 2021
11th Zee-qada, 1440 Hijri
"1" Har roz jab ALLAAH ke bande subah ko uthte hain , do farishte
naazil hote hain, un mein se ek kehta hai : ae ALLAAH ! (achche kaamon mein)
kharch karne waale ko bahot ata farma aur farna aur doosre kehta hai ; ae
ALLAAH ! maal ko (achche kaamon mein kharch karne ke bajaaye) rok kar rakhne
waale ka maal barbaad farma."{Bukhaari:1442}
"2" Duniya mein is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya raasta
chalta musaafir."{Bukhaari:6416}
"3" Tum do aadaton ko ikhtiyaar kar lo, (1) ziyaada khaamosh rehne ki aadat,
(2) achchhe akhlaaq se pesh aane ki aadat."{Sho'bul imaan:4941}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (308th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.