EID KI NAMAZ KI NIYYAT
Niyat ki mene 2 Rakaat
Namaz Waajib Eidul Fitar Ya Eidul Azha
Me Zaaid 6 Takbiron ke
Munh mera Kaaba Sharif ki
Taraf Peechhe Is Imaam ke
Allahu Akber
Dono eid ki Namaz me koi fark nahi hai
dono ek hi tareeqe se Padhi Jaati hai sirf Waqt ka Fark hai
Ek ki Niyyat karte waqt Eidul fitr kaha jaata hai
Aur Ek me Eidul Azha
EID KI NAMAZ KA TAREEQA
Imaam Saheb Allahu Akber kehkar Niyyat bandh le Fir Aap bhi Niyyat
Bandhle Fir
Sana Padhe (yaani Poori Sub'hana)
Aur Khamosh Hojae fir Imaam takbir
Kahega Aap bhi takbir kahen
Aur Kaano tak Hath uthakar
Chhod de
Fir Imaam dusri baar takbir
Kahega Aap bhi kahen Aur Kaano
Tak le jakar
Fir Chhood de
Aur Fir Tisri baar Imaam ke Sath Takbir
kehkar Hath Bandh le
Aur Khamosh Rehkar Imaam ki Qirat sune Kuchh na padhen
Fir Jab Imaam Ruku Kare Aap bhi karen
Sajde Kare Aap bhi Karen
Aur
Dusri Rak'at ke lie
Khade hojaye
Aur Khamosh Rehkar Imaam ki Qirat
Sune
Aur Imaam Ruku me Jaane se Pahle
3 Baar Takbir kahega Aap bhi kahen
Aur Kaano Tak Hath lejakar
Chood de
Aur chothi baar me Imaam Takbir kehkar Ruku
mein jainge Aap bhi Unke Sath
Ruku me chale Jayen
Aur Namaz Mukammal karen
KHUTBA GOUR SE SUNE
Fir Namaz ke Baad Baten na kare na Idhar Udhar dekhe Balki Eid ka khutba
Kaan Lagakar Sune
Kyunki Khutba Sunna Wajib Hota hai
Jis tarah Namaz me Idhar Udhar Nahi dekhna chahye
Usi Tarah se Khutbe ka bhi
Adab karen Aur Khamosh rehkar
Adab ke sath jis Tarah
Namaz me bethte hai usi Tarah
bethen Aur Poora khutba Sune
Agar khutbe Ki Awaaz Kaano tak na Aye Tab bhi
Uska Adab Rakhna Zaroori hai
To khamoshi se rahen
Aur Adab Se Sune
NAMAZ KE BAAD DUAA MANGE
Fir Imaam ke Sath Duaa Mange
Allah ki Baargaah me Roye
Agar Ro Na Saken To Aisi Kaifiyat
Banaye Jaise Rone ki si hoti
Hai
Aur Us Rab Se Kahen
Ya Allah hum
Teri Ibaadat Ka haqq Adaa na kar
Sake hum
Aisi ibaadat Ramzan me na kar sake
Jaisa uska haqq Tha humne bohat kam Ibaadat ki
Ya Allah fir bhi tu Hamari us Ibaadat
Ko Qubool Farmale Aur Hamen Muaaf Karde
Ayenda Ramzan Hamen Naseeb Farmana
Taaki humne jo waqt Is Ramzan me
Ibaadat se Mahrumi me Guzara
Us Tarah Ayenda na Guzre
Aur Hum Agle Saal teri khoob Ibaadat Kare
Hamen Bakhsh de Tu Raheem hai
Humpar Rahem Farma Hamare liye
Apni Rehmat ke Darwaze khol de
Aur Hamare Sagira,Kabirah Gunahon
ko muaaf Farma Aur Hamen Jannat me
Apna Deedaar Ataa farmana Moula
Aur Apne
Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam
Ka Pados Hamen Jannat me Ataa
Farmana
Ya Rabbe Kareem Humpar apna khaas Karam Farma
Aameen Summa Aameen
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.