*A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem*
*AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai*
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH*
☀ 23rd February, 2021
10th Rajjab, 1442 Hijri
"1" Momin ki tabiyat wa fitrat mein har aadat ho sakti hai, siwaaye
khayaanat (betrayal) aur jhoot ke."{Musnad-e-ahmad :22170}
"2" Rasoolullahï·º is baat ko pasand nahin farmaate the ke as'haab (saathiyon)
ki majlis mein khushbu lagaaye bagair tashreef le jaaein."{Subulul huda war
rashaad:7/337}
"3" Khaane se pehle kharbooze ka istemaal pet ko bilkul saaf kar deta hai
aur beemaari ko jad se khatm kar deta hai."{Kanzul ummaal:28287}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (187th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.