*A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem*
*AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai*Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH*
☀ 30th December, 2018
14th Jamadi-us-s'aani, 1440 Hijri
"1" Jo shakhs zulm-o-ziyaadati ke taur par aisa (qatal wa khoon)
karega toh hum us ko aag (jahannam) mein daakhil kareinge."{Surah-e-nisa:30}
"2" Tum zulm-o-sitam karne se bacho! is liye ke zulm-o- sitam ki saza doosri
sazaaon ke muqaable mein jaldi milti hai."{Tabraani ausat:5664}
"3" Pahelwaan woh nahein hai, jo saamne waale ko pachhhaad de, balke
pahelwaan haqeeqat mein woh hai, jo gusse ke waqt apne nafs (aap) par qaabu
rakhe."{Bukhaari:6114}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (132nd day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.