*A'oozubiLLAAHi Minash shaitaa-nir Rajeem, BismiLLAAHir Rahmaanir Raheem*
*AsSALAAMu 'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATuh Bhai*
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH*
☀ 27th December, 2018
11th Jamadi-us-s'aani, 1440 Hijri
"1" Ae aadam ke bete (insaan) ! agar tu zaroorat se zaaid maal
(bhalaai ke kaamon mein) kharch kar de toh yeh tere liye behtar hai aur agar
tu use roke rakhe toh yeh tere liye bura hai."{Muslim:2435}
"2" Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi tanhaai se behtar
hai."{Shoabul imaan:4993}
"3" Who shakhs bada achchha insaan hai, jo apne zaaid maal ko (mohtaajon
par) kharch kare aur be faaida baatein karne se ruka rahe."{Sho'bul
imaan:3388}
_Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (129th day)_
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.