🌷 ▫ Aaj Ki Hadees ▫ 🌷
🍁 Hazrat Usman Raziyallahu 'anhu ke Aazaad karda ghulam Hazrat Haani
Rahimahullahu farmate hain ke Hazrat Usman (Raziyallahu 'anhu) jab kisi qabr
ke paas khadhe hote to bahut rote yahan tak ke aansuon se apni dadhi ko tar
kar dete. Unse arz kiya gaya (ye kya baat hai) ke aap Jannat wa Dozakh ke
tazkire par nahi rote aur qabr ko dekhkar is qadr rote hain? Aap ne farmaaya
ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qabr aakhirat ki manzilon mein se pehli
manzil hai agar banda is se najaat pa gaya to aage ki manzilein isse zyaada
aasaan hain, aur agar is manzil se najaat na pa saka to baad ki manzilein usse
zyaada sakht hain (neez) Rasullulah ﷺ ne ye irshaad farmaaya maine koi manzar
qabr ke manzar se zyaada khaufnaak nahi dekha. (Tirmizi: 2308)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.