Bismillahirrahmanirraheem
Mafhum e hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki Khas duaTahajud mein padhne ki
-------------------
Allahumma, Lakal-hamdu Anta Rabbus-samawati wal-ardi
Lakal-Hamdu Anta Qayyumus-Samawati wal-ard wa man fihin.
Lakal-Hamdu Anta Noorus-samawati wal-ard
Qaulukal Haqq, Wa wa'duka Haqq, Wa liqauaka Haqq,
Waljannatu Haqq,Wannaru Haqq, Wassa'atu Haqq
Allahumma Laka Aslamtu, Wa bika Aamantu, Wa Alaika Tawakkaltu,
Wa ilaika Anabtu, wa bika khasamtu, Wa ilaika Hakamtu,
Fagfirli Ma Qaddamat Wa Ma Akhkhrat, Wa Asrartu , Wa Aalantu
Anta ilahi La ilaha li Gairuka
-------
Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tea qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh ALLAH maine teri hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya
Maine teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain ,
jo (gunah) maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye ( wo maaf farma)
Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi
Sahih Bukhari, Jild 8, 7385
--------------------
بن عباس رضی اللہ عنہما نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم رات میں یہ دعا کرتے تھے ۔
اللهم لك الحمد أنت رب السموات والأرض ، لك الحمد أنت قيم السموات والأرض ومن فيهن ، لك الحمد أنت نور السموات والأرض ، قولك الحق ، ووعدك الحق ، ولقاؤك حق ، والجنۃ حق ، والنار حق ، والساعۃ حق ، اللهم لك أسلمت ، وبك آمنت ، وعليك توكلت ، وإليك أنبت ، وبك خاصمت ، وإليك حاكمت ، فاغفر لي ما قدمت وما أخرت ، وأسررت وأعلنت ، أنت إلهي لا إله لي غيرك ". حدثنا ثابت بن محمد حدثنا سفيان بهذا وقال أنت الحق وقولك الحق ”
صحیح بخاری جلد ٧ حدیث ٧٣٨٥
-
https://youtu.be/y4VBqH_9FIQ
For More islamicAzkar videos join
https://www.youtube.com/islamicAzkars
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.