DALALI (COMMISSION) KA HUKM AUR SHARAIT
⭕AAJ KA SAWAL NO.2186⭕
Makan kapda aur dusri chizon ki Dalali karna kaisa hai ?
Uske kya Sharait hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
1. Dalal apni ujrat aur Commission Bechne wale aur kharidne wale se saaf Taur per pehle tay kar le.
2. Dalal kharidar Ko Dhokha dekar Ya'ne ghatiya cheez achchhi Aur umda zahir Karke na Beche.
3. boli Lagane Wala kharidne ki Niyat se boli lagaye, sirf qeemat badhane ke liye Aur dusron Ko usme fasaane ke maqsad Se Na Ho. Jaisa ke aajkal Bahut Si dukaano Me agent aapas me mile hue Hote Hain, Is Tarah kaam Karke agar koi dalal ujrat- Commission Hasil karta hai to ye Na-Jaiz hai.
4. Agar Dalal fix Paisa vasul Na kare Balke sode ki qeemat par feesad- takaavari (percentage) ke hisab se ujrat Vasool karen to yah Bhi Jaiz hai.
📗 JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM SAFA 480
📘KITABUN NAWAZIL 12/366
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai
📲💻
http://www.aajkasawal.in
http://aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.