TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Saturday, May 2, 2020

Zyada neik aamal karne ki wajah se Shaheed se pahle jannat mein jaane wala shaksh

Bismillahirahmanirrahim
✦ Zyada neik aamal karne ki wajah se Shaheed se pahle jannat mein jaane wala shaksh


✦ Talhah bin Ubaidullah se riwayat hain Do Shaks Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huye wo dono ek sath Islam laye they un mein ek dusre ki nisbat bahut hi mehnati tha to mehnati ne jihad kiya aur Shahid ho gaya phir dusra Shaks Uske ek Saal bad tak zinda raha Uske bad Wo bhi faut ho gaya Talha Radi Allahu Anhu ne farmaya Meine khwab Mai Dekha ke main Jannat ke Darwaze par khada hu itne Mai wo dono Shaks nazar aaye aur Jannat ke andar se ek shaks Nikal aur us Shaks ko andar jaane ki ijazat di jiska inteqal akhir mai hua tha phir dusri bar nikla aur us Shaks ko ijazat di Jo Shaheed kar diya gaya tha Uske bad us Shaks ne mere paas aakar Kaha tum wapas chale jao abhi tumara waqt Nahi aaya

✦ Subha uth Kar Talha Radi Allahu Anhu ne logo se ye khwab bayan karne lage to logo ne badi hairat zahir ki phir khabr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam tak paunchi aur logo ne ye Sara qisa aur Waqia Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se bayan Kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhein kis baat par taajub hain? Unhone Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam pehla Shaks bahut Ibadat guzar tha phir wo Shahid bhi Kar Diya Gaya aur ye dusra ussay pehle Jannat mein dakhil Kiya Gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya ye Uske Ek Saal aur zinda Nahi raha logo ne Kaha kyu Nahi zarur Zinda raha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ek Saal Mai to usne Ramzan Ka mahina paya roze rakhe aur Namaz bhi padhi aur itne Sajde kiye kya ye haqeeqat nahi logo ne Kaha ye toh hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya to iss wajah se un dono ke darjo Mai Zameen Asman ke fasle se bhi zyada duri hain
Sunan Ibn maja, Jild 3,806-Sahih
--------
  دو شخص رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوئے، وہ دونوں ایک ساتھ اسلام لائے تھے، ان میں ایک دوسرے کی نسبت بہت ہی محنتی تھا، تو محنتی نے جہاد کیا اور شہید ہو گیا، پھر دوسرا شخص اس کے ایک سال بعد تک زندہ رہا، اس کے بعد وہ بھی مر گیا، طلحہ رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ میں نے خواب میں دیکھا کہ میں جنت کے دروازے پر کھڑا ہوں، اتنے میں وہ دونوں شخص نظر آئے اور جنت کے اندر سے ایک شخص نکلا، اور اس شخص کو اندر جانے کی اجازت دی جس کا انتقال آخر میں ہوا تھا، پھر دوسری بار نکلا، اور اس کو اجازت دی جو شہید کر دیا گیا تھا، اس کے بعد اس شخص نے میرے پاس آ کر کہا: تم واپس چلے جاؤ، ابھی تمہارا وقت نہیں آیا،

 صبح اٹھ کر طلحہ رضی اللہ عنہ لوگوں سے خواب بیان کرنے لگے تو لوگوں نے بڑی حیرت ظاہر کی، پھر خبر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو پہنچی، اور لوگوں نے یہ سارا قصہ اور واقعہ آپ سے بیان کیا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تمہیں کس بات پر تعجب ہے ؟ انہوں نے کہا: اللہ کے رسول! پہلا شخص نہایت عبادت گزار تھا، پھر وہ شہید بھی کر دیا گیا، اور یہ دوسرا اس سے پہلے جنت میں داخل کیا گیا! آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا یہ اس کے بعد ایک سال مزید زندہ نہیں رہا؟ ، لوگوں نے عرض کیا: کیوں نہیں، ضرور زندہ رہا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ایک سال میں تو اس نے رمضان کا مہینہ پایا، روزے رکھے، اور نماز بھی پڑھی اور اتنے سجدے کئے، کیا یہ حقیقت نہیں ہے؟ لوگوں نے عرض کیا: یہ تو ہے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تو اسی وجہ سے ان دونوں ( کے درجوں ) میں زمین و آسمان کے فاصلہ سے بھی زیادہ دوری ہے ۱؎۔
سنن ابن ماجہ ، جلد ٣، ٨٠٦-صحیح
--------
https://only-quran-hadith.blogspot.com/2018/06/zyada-neik-aamal-karne-ki-wajah-se.html

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.