TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Thursday, May 7, 2020

Zakat: ZAKAAT KE MASAIL

ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ✭


Zakat: ZAKAAT KE MASAIL

╭••🍃 ZAKAAT KE MASAIL 🍃••╮

💐 POST↝02 💐

🏷Masla 3: Maal-e-naami Har Uss Maal Ko Kehte Hein Jo Badhne Waala Ho, Khwa Haqeeqatan Ho Jaese Maweshi (jaanwar) Ke Unki Nasal Badhti Hai Aur Maal-e-tijaarat; Ya Taqdeeran Jaise Sona, Chandi, Aur Wo Sikke Jo Raaij Hon.

🏷Masla 4: Zakaat ki adaaegi ke waajib hone ke liye koi maheena ya tareekh muta'ayyan nahi, balke jis din nisaab par saal pura ho usi taareekh ko zakaat ki adaaegi waajib hogi. Masalan : Koi shakhs Yakkum (1st) Muharram-ul-Haraam ko saahib-e-nisaab huwa to aainda Yakkum Muharram-ul-Haraam ko uss par zakaat ki adaayegi waajib hogi.

Magar aam log Ramazaan mein zakaat adaa karte hen. Ba'az to wo hote hen ke Ramazaan hi men unke nisaab par saal pura hota he, wo waqt par hi adaa kar rahe hen, or ba'az log wo hote hen ke unke nisaab par saal pehle hi pura ho chuka hota he, magar wo zakaat ki adaayegi Ramazaan mein karte he, unke liye behtar ye tha ke jis waqt saal pura hua usi waqt adaa krte, kyunke adaa-e-zakaat me takheer karna makrooh-e-tehreemi hai or ba'az wo hote hen jo Ramazaan-ul-Mubarak ki fazeelat-o-barkat (sawaab me 70 guna izaafa) se faida uthaane ke liye peshgi zakaat dete hen jo ke jaaiz hai magar teen sharton ke saath :

1- Bawaqt-e-ta'ajeel (peshgi zakaat adaa karte waqt) saal shuru ho chuka ho.

2- Aakhir saal men wo nisaab kaamil ho, jiski peshgi zakaat di gayi ho.

3- Darmiyaan men nisaab faut na ho.

⇲ Next- 03 🔜 in sha Allah ta’aala        

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.