TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Sunday, May 17, 2020

SHAB – E – QADAR Zarori Baatein

SHAB – E – QADAR  Zarori Baatein 


◐☞Ye Raat Kyu ataa Hui ?- ◐


❖__is Raat ke ataa kiye Jane ki Sabse Aham vajah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ki is Ummat per Shafqat aur Aapki GAM khwari hai ,

❖_Baab maaja fi Laylatul Qadr -Mota Imaan Maalik Reh.mai hai — Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Pichhle logo Ki Umaro per agaah farmaya gaya to Aapne unke muqable mai Apni Ummat ke logo Ki Umar ko kam dekhte hue ye khayal farmaya k meri Ummat ke log itni kam Umar mai Pichhli ummato ke barabar amal kese karenge ?

*___Jab Allah Ta’ala ne Aapke muqaddas Dil ko is maamle mai gamzada v pareshan dekha to — Pas Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Laylatul Qadr ataa farma di Jo hazaar mahino se Afzal hai ,
❖_ iski Taa’id Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se manqool Rivayat se bhi hoti hai ,k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Baargahe Aqdas mai Bani Israel ke ek ese Shakhs ka zikr kiya gaya Jisne Ek Hazaar Maah tak Allah Ta’ala Ki Raah mai Jihaad kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is per Tajjub farmaya aur Apni Ummat ke liye aarzu karte hue jab ye Dua Ki k Ey mere Rab meri Ummat ke logo Ki umare kam hone Ki vajah se nek Amaal bhi kam honge , To is per Allah Ta’ala ne Shabe Qadr inayat farmayi ,

( Tafseer Khaazin ,4/397)

❖_  Ek aur Rivayat mai ye bhi hai k Ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Saamne Bani israiyl ke Chaar mukhtalif Shakhsiyaat Hazrat Ayyub Alaihissalam, Hazrat Zakariya Alaihissalam ,Hazrat Hizkeel Alaihissalam ,Hazrat Yusha Alaihissalam ka tazkira karte hue farmaya k in Hazraat ne Assi Assi Saal Allah Ta’ala Ki ibaadat mai mashgool rahe aur Palak jhapakne ke barabar bhi Allah Ta’ala Ki nafarmani nahi Ki ,
Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko in buzurg hastiyo per rashk aaya ,Imaam Qartubi Likhte hai’n k usi waqt Jibreel Alaihissalam Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki baargahe Aqdas mai haazir hue aur arz kiya – Ey Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) Aapki Ummat ke log in saabqa logo Ki Assi Assi Saala ibaadat per rashk kar rahe hai’n to Aapke Rab ne Aapko isse behtar ataa farmaya hai aur fir qiraat Ki ” inna anzalnahu fi laylatil qadri…,” is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Mubarak Chehra khushi v masrrat se chamak utha , (Qurtubi-20:130)
❖_Chunache Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki tufel ye karam farmaya k is Ummat ko Laylatul Qadr inaayat farma di aur iski ibaadat ko Assi nahi 83 Saal 4 Maah se badh kar qaraar diya

  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
📕Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
             🌹शबे- कद्र 🌹
              ❖══✰═══❖
    ◐☞ यह रात क्यूं अता हुई  ◐
❖_ इस रात के अता किए जाने की सबसे अहम वजह नबी करीम सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम की इस उम्मत पर शफक़त और आपकी गमख्वारी है।
❖_ बाब माज़ा फी लैलतुल कद्र- मौता इमाम मालिक रहमतुल्लाही में है :-जब रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम को पिछले लोगों की उमरों पर आगाह फरमाया गया तो आपने उनके मुकाबले में अपनी उम्मत के लोगों की उम्र को कम देखते हुए यह खयाल फरमाया कि मेरी उम्मत के लोग इतनी कम उम्र में पिछली उम्मतों के बराबर अमल कैसे करेंगे ? जब अल्लाह ताला ने आपके मुकद्दस दिल को इस मामले में गमजदा व परेशान देखा तो पस आप सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम को लैलतुल कद्र अता फरमा दी जो हजार महीनों से अफजल है।
❖_ इसकी ताईद हज़रत इब्ने अब्बास आ रजियल्लाह अन्हो से मंक़ूल रिवायत से भी होती है कि आप सल्लल्लाहो सल्लम की बारगाहे अक़्दस  में बनी इसराइल के एक ऐसे शख्स का जिक्र किया गया जिसने 1000 माह तक अल्लाह ताला की राह में जिहाद किया तो आप सल्ला वसल्लम ने इस पर ताज्जुब फरमाया और अपनी उम्मत के लिए आरज़ू करते हुए जब यह दुआ की ए मेरे रब मेरी उम्मत के लोगों की उम्र कम होने की वजह से …
[6:58 AM, 5/17/2020] +91 72310 77087: ╭ ﷽ ╮
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel,
Telegram_https://t.me/haqqKaDaayi 
★★_"_★★__"_★★_"__★★
     ▓ S A D Q A T U L - F I T R ▓
  .      ❂ Sadqatul Fitr Kyu? ❂
▦══─────────────══▦
★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Rozo ko fizool v la’ayani aur Fahash baato ke asraat se paak saaf karne ke liye aur misqeeno mohtaajo ke khane ka bandobast karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya he,
↳ ®  Sunan Abi Daoud,
★ Faayda: –is hadees me sadqa e  fitr ki 2 hikmate aur uske 2 khaas faaydo ki taraf ishara farmaya gaya he,
→Ek ye k musalmano ke jashn v masarrat ke is din me sadqa e fitr ke zariye mohtaajo misqeeno ki bhi shikam seri aur asoodgi ka intezam ho jayega,→Aur doosre ye k zabaan ki be-ahatyatiyo aur be-bakiyo se Roze per Jo bure asraat padte honge ye sadqa e fitr unka bhi kaffara aur fidya ho jayega,
★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya he,
→ek saa’a khajoor ya ek saa’a Jo aur hukm diya he k ye sadqa e fitr Namaz Eid ke liye Jane se pehle adaa kar diya jaye,
↳® Sahih Bukhari v Muslim,
Fiqhul ibadaat, 301, 
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═○
           ▓ सदक़तुल फितर् ▓           
            ❂ सदक़तुल फितर् क्यों ❂       
★_ हजरत अब्दुल्लाह बिन अब्बास रजियल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने रोजों को फिजूल व लायानी और फहश बातों के असरात से पाक साफ करने के लिए और मिस्कीनों  मोहताजों के खाने का बंदोबस्त करने के लिए सदक़तुल फितर वाजिब क़रार दिया है । ( सुनन अबि दाऊद)
★_फायदा :- _ इस हदीस में सदका़ ए फितर् की दो हिकमतें और उसके दो खास फायदों की तरफ इशारा फरमाया गया है ,एक यह कि मुसलमानों के जश्न व मसर्रत के इस दिन में सदका़ ए फितर् के जरिए मोहताजों मिस्कीनों की भी शिकम शेरी और आसूदगी का इंतजाम हो जाएगा और दूसरा यह कि इस ज़ुबान की बे-अहत्यातियों  और बेबाकियों से रोज़े पर जो बुरे असरात पढ़ते होंगे यह सदका़ ए फितर्  उनका भी कफ्फारा और फिदया हो जाएगा ।
★_अब्दुल्लाह बिन उमर रजियल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने मुसलमानों में से हर गुलाम आजाद पर हर मर्द और औरत पर छोटे और बड़े पर सदका ए फितर् लाज़िम किया है।
एक सा'अ खूर या एक सा'अ जौ, और हुक्म दिया है कि यह सदका़ ए फितर् नमाजे ईद के लिए जाने से पहले अदा कर दिया जाए !  (सहीह बुखारी व मुस्लिम)
 फिक़हुल इबादात-301 _,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
❂ Sadqa e Fitr ka Nasaab ❂
▦══─────────────══▦
★ Sone chandi aur maale tijaarat aur ghar me roz marrah istemal ki cheezo se zaa’id samaan ki qeemat laga kar usme naqdi jama ki jaye, in paancho ka majmua ya inme se baaz 87.479 gram Sone ya 612.35 gram Chandi ke barabar ho jaye to sadqa e Fitr waajib he,
★ Teen jode kapdo se zyada libaas aur Radio, TV jesi khurafaat insani hajaat me dakhil nahi, isliye inki qeemat bhi hisaab me lagayi jayegi,
↳ ®  Ahsanul fatawa, 1/373
★Kisi ke paas apni Riha’ish ka bada qeemti makaan he aur pehanne ke qeemti kapde he’n, magar inme sachcha gota thappa nahi he,
neez gharelu samaan he Jo istemal me aata rehta he magar zever aur Rupiya nahi,
ya kuchh samaan zarurat se zyada bhi he aur kuchh Sachcha gota thappa zever aur Rupiya bhi he magar sabka majmua Saade Bavan tola chandi ki qeemat se kam he to ese shakhs per sadqa tul fitr waajib nahi,
Fiqhul ibadaat, 302,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═○
           ▓ सदक़तुल फितर् ▓           
      ❂ सदक़तुल फितर् का निसाब ❂       
★_ सोने चांदी और माले तिजारत और घर में रोजमर्रा इस्तेमाल की चीजों से जायद सामान की कीमत लगा कर उसमें नकदी जमा की जाए ।इन पांचों का मजमुआ या इनमें से बाज़ 87.479  ग्राम सोने या 612.35 ग्राम चांदी के बराबर हो जाए तो सदका़ ए फितर् वाजिब है ।
★_ तीन जोड़े कपड़ों से ज्यादा लिबास और रेडियो टीवी जैसी खुराफातें इंसानी हाजत में दाखिल नहीं ,इसलिए इनकी कीमत भी हिसाब में लगाई जाएगी ।
(अहसनुल फतावा -1/ 373)
★_ किसी के पास अपनी रिहाइश का बड़ा कीमती मकान है और पहनने के कीमती कपड़े हैं मगर इनमें सच्चा गोटा ठप्पा नहीं है , नीज़ घरेलू सामान है जो इस्तेमाल में आता रहता है मगर जे़वर और रुपया नहीं , या कुछ सामान जरूरत से ज्यादा भी है और कुछ सच्चा गोटा ठप्पा जेवर और रूपया भी है मगर सब का मजमुआ साडे 52 तोला चांदी की कीमत से कम है तो ऐसे शख्स पर सदका़तुल फितर् वाजिब नहीं ।
फिक़हुल इबादात-302  _,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
❂ Ek se Zyada Makaan ka Hukm✺ ❂
▦══─────────────══▦
★ Agar kisi ke paas do makaan he, ek me khud rehta he aur ek khali pada ho ya kiraye per diya ho to shar’an ye doosra makaan zarurat se zaa’id he,
★ Agar iski qeemat itni ho jitne per zakaat waajib hoti he to us per sadqa e fitr waajib he, aur ese shakhs ko zakaat ka paisa dena bhi jaa’iz nahi,
★ Albatta agar is per uska guzaara ho to ye makaan bhi zaruri asbaab me dakhil ho jayega, aur us per sadqa e fitr waajib nahi hoga,
★ Masla.: – Kisi ke paas zever nahi na maale tijaarat na rupiya he magar kuchh aur samaan zarurat se zaa’id  he jiski majmui qeemat saade Bavan tola chandi ki qeemat ke barabar he to ese shakhs per zakaat to waajib nahi lekin sadqa tul fitr waajib he,
   
↳® Ahkamul Ramzan,
Fiqhul ibadaat, 302,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═○
           ▓ सदक़तुल फितर् ▓           
❂ एक से ज्यादा मकान का हुक्म ❂       
★_ अगर किसी के पास दो मकान हैं एक मैं खुद रहता है और एक खाली पड़ा है एक किराए पर दिया हो तो शरअन ये दूसरा मकान जरूरत से ज्यादा है, अगर इसकी कीमत इतनी हो जितने पर जकात वाजिब होती है तो उस पर सदका ए फित्र वाजिब है और ऐसे शख्स को जकात का पैसा देना भी जायज नहीं।
★_ अलबत्ता अगर इस पर उसका गुजारा हो तो यह मकान भी जरूरी असबाब में दाखिल हो जाएगा और उस पर सदका़ ए फित्र वाजिब नहीं होगा ।
★ _मसला:-  किसी के पास जेवर नहीं ना माले तिजारत ना रुपया मगर कुछ और सामान जरूरत से जायद है जिसकी मजमुई कीमत साडे 52 तोला चांदी की कीमत के बराबर है तो ऐसे शख्स पर जकात तो वाजिब नहीं लेकिन सदका फितर वाजिब है । (अहकमुल रमजान )
फिक़हुल इबादात-३०२  _,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
❂ Makrooz per Fitra Waajib hone Ki Soorat ❂
▦══─────────────══▦
★ Kisi ke paas zaruri samaan se zaa’id maal o asbaab he lekin wo Qarzdaar bhi he to qarz munhama karke dekho kya bachta he?
Agar nisaab zakaat ke barabar bache to us per sadqa tul fitr waajib he, kam bache to waajib nahi,
↳ ®  Ba- Hawala,, Sharah Bidaya, 168
Fiqhul ibadaat, 303 ,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═○
           ▓ सदक़तुल फितर् ▓           
❂ मक़रूज पर फितरा वाजिब होने की सूरत  ❂       
★_ किसी के पास जरूरी सामान से जायद मालों असबाब है लेकिन वह कर्जदार भी है तो कर्ज  मुनहमा करके देखो क्या बचता है ?  अगर निसाब जकात के बराबर बचेगा तो उस पर सदका़तुल फितर् वाजिब है कम बचे तो वाजिब नहीं  ।
(बा हवाला शरह बिदाया -168)
फिक़हुल इबादात-३०३  _,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
❂ Fitra Waajib hone Ka Waqt ❂
▦══─────────────══▦
★ Eid ke din jis waqt Fajar ka waqt aata he usi waqt ye sadqa tul fitr waajib hota he,
★ Agar koi Fajar ka waqt aane se pehle hi mar gaya to us per sadqa e fitr waajib nahi, Uske maal me se fitra nahi diya jayega,

↳ ®  Ba- Hawala,,, Hindiya 1/191
★ Behtar ye he k Eid ul Fitr ke liye Jane se pehle sadqa tul fitr Ada kar de, agar pehle na diya to baad me Ada kar de,
★ Agar kisi ne sadqa tul fitr Eid ke din se pehle hi Ramzan me de diya tab bhi Ada ho gaya, Ab dobara dena waajib nahi,
®Ba- Hawala,,,,,,Sharah Tanveer, 2/125
★ Sadqa tul fitr apni taraf se aur apni chhoti nabalig aulaad ki taraf se dena waajib he,
Balig aulaad aur apni Bivi ki taraf se dena waajib nahi, Haa’n koi Balig ladka majnoon ho to uski taraf se bhi Ada kare,
   
↳® Ba- Hawala,,, Hidaya, 1/190
Fiqhul ibadaat, 303  ,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═○
           ▓ सदक़तुल फितर् ▓           
  ❂ फितरा वाजिब होने का वक्त ❂       
★_ ईद के दिन जिस वक्त फजर का वक्त आता है उसी वक्त यह सदका़तुल फितर् वाजिब होता है।
★_ अगर कोई फजर का वक्त आने से पहले ही मर गया तो उस पर सदका फितर् वाजिब नहीं उसके माल में से फितरा नहीं दिया जाएगा ।
(बा हवाला हिंदिया -1/191)
★_बेहतर यह है कि ईद उल फितर के लिए जाने से पहले सदक़तुल फितर् अदा कर दे, अगर पहले ना दिया तो बाद में अदा कर दे , अगर किसी ने सदक़तुल फितर ईद के दिन से पहले ही रमजान में दे दिया तब भी अदा हो जाएगा अब दोबारा देना वाजिब नहीं ।
( बा हवाला शरह तनवीर- 2/ 125)
★_ सदक़तुल फितर् अपनी तरफ से और अपनी छोटी नाबालिग औलाद की तरफ से देना वाजिब है। बालिग औलाद और अपनी बीवी की तरफ से देना वाजिब नहीं । हां कोई बालिग लड़का मजनून हो तो उसकी तरफ से भी अदा करें । (बा हवाला हिदाया-1/190)
फिक़हुल इबादात-३०३  _,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
          ❂ Fitre Ki Miqdaar ❂
▦══─────────────══▦
★ Sadqa e fitr me agar gandum de ya khalis gandum ka aata de to ek shakhs ki taraf se Ek Ser Saade Barah Chhataank de balki ahatyatan poora Do kilo ya kuchh zyada dena chahiye, kyuki zyada dene me koi harj nahi balki behtar he aur agar khalis Jo ya Jo ka aata dena ho to iska doguna ( Yani ek saa’a ) waajib he,
★ Agar Genhu aur Jo ke Siva koi aur Anaaj dena ho jese Chana, Jwaar vagera to itna de k uski qeemat itne Genhu ya itne Jo ke barabar ho jaye jitne ouper bayaan hue,
★ Agar Genhu aur Jo nahi de balki itne Genhu aur Jo ki qeemat de de to ye sabse behtar he,
★ Agar ek Aadmi ka sadqa e fitr ek hi faqeer ko de de ya thoda thoda karke kai faqeero ko de de, Dono jaa’iz he,
★ Agar kai Aadmiyo ka sadqa e fitr ek hi faqeer ko de diya tab bhi durust he,
Fiqhul ibadaat, 304, ,*
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═○
           ▓ सदक़तुल फितर् ▓           
       ❂ फितरे की मिक़दार  ❂       
★_ सदका़ ए फित्र में अगर गंदुम दें या खालिस गंदुम का आटा दें तो एक शख्स की तरफ से एक सेर साढ़े 12 छटांक दें बल्कि अहतयातन पूरे 2 किलो या कुछ ज्यादा देना चाहिए क्योंकि ज्यादा देने में कोई हर्ज नहीं है बल्कि बेहतर है और अगर खालिस जौ या जौ का आटा देना हो तो इसका दोगुना (यानी एक सा'अ) वाजिब है ।
★_अगर गेहूं और जौ के सिवा कोई और अनाज देना हो जैसे चना ज्वार वगैरा तो इतना दे कि उसकी कीमत इतने गेहूं या इतने जौ के बराबर हो जाए जितने ऊपर बयान हुए ।
★_अगर गेहूं और जौ नहीं दें बल्कि इतने गेहूं और जौ की कीमत दे दे तो यह सबसे बहतर है ।
★_ अगर एक आदमी का सदका़ ए फितर् एक ही फकीर को दे दे या थोड़ा थोड़ा करके कई फकीरों को दे दे, दोनों जायज़ है । अगर कई आदमियों का सदका़ ए फितर् एक ही फकीर को दें तब भी दुरुस्त है
 फिक़हुल इबादात-३०४ _,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
❂ Sadqa e Fitr ke Bare me Kotahiya ❂
▦══─────────────══▦
★ 1- Baaz log galti se ye samajhte he k jis per Zakaat Farz nahi us per Sadqa e fitr bhi waajib nahi, halaanki bahut se logo per zakaat Farz nahi hoti magar sadqa e fitr waajib hota he jesa k pehle guzar chuka,
★ 2- Ek kotahi sadqa e fitr ke mutalliq baaz dehaat me ye he k isko jaante hi nahi, isliye isko Ada nahi karte,  Ahle ilm aur wa’azeen ko chahiye k Juma ke khutbe me ya kisi moqe per khud dehaat me jaakar masail se agaah kare,
★ 3- Ek kotahi iske mutalliq ye he k gair masraf me kharch karte he’n, iska masraf wahi he Jo zakaat ka he, Jin masarif me kharch karne se zakaat Ada nahi hoti unme kharch karne se sadqa e fitr bhi Ada nahi hota,
↳ Alhamdulillah Mukammal Hue,

Fiqhul ibadaat, 305 ,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═○
           ▓ सदक़तुल फितर् ▓           
❂ सदका़ ए फितर् के बारे में कोताहियां ❂       
★_ १_बाज़ लोग गलती से यह समझते हैं कि जिस पर जकात फर्ज नहीं उस पर सदका़ ए फित्र  भी वाजिब नहीं हांलाकि बहुत से लोगों पर जकात फर्ज नहीं होती मगर सदक़ा ए फितर् वाजिब होता है जैसा कि पहले गुजर चुका।
★_ एक कोताही सदका़ ए फितर् के मुताल्लिक बाज़ देहात में यह है कि इसको जानते ही नहीं इसलिए इसको अदा नहीं करते अहले इल्म और वाईजी़न को चाहिए कि जुमा में या किसी मौके पर खुद देहात में जाकर मसाइल से आगाह करें ।
★_एक कोताही इसके मुताल्लिक यह है कि गैर मसरफ खर्च करते हैं इसका मसरफ वही है जो जकात का है ,जिन मसारिफ में खर्च करने से जकात अदा नहीं होती उनमें खर्च करने से सदका़ ए फितर् भी अदा नहीं होता ।
"_ अलहमदुलिल्लाह मुकम्मल हुए _,
 फिक़हुल इबादात-३०५ _,
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
✍ Haqq Ka Daayi ,

http://www.haqqkadaayi.com/
Visit for Daily updates,

Telegram_ https://t.me/haqqKaDaayi 

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.