LOCK DOWN ME AETIKAF KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.2095⭕
Abhi ke ramzan me aksar jagahon par lock down hai to kya is Saal ham mard Hazrat bhi Masjid ke bajaye Ghar me aetikaf Kar sakte hai?
agar Nahi Kar sakte to Masjid me kaise kare? Me har Saal aetikaf ki pabandi karta Hun is sal Kiya Karun?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Aetikaf ke liye aesi sharee Masjid hona shart hai jahan Panchon waqt ki namaz jamat ke sath hoti rehti ho lihaza mard hazrat ghar me aetikaf Nahi Kar sakte.
📘(KITABUL MASAIL 2/124 BA HAWALA HINDIYAH 1/211)
Aakhri ashre ke aetikaf mufta bihi qaul par har mohalle aur basti ki ek masjid me karna sunnate muakaddah alal kifayah hai yani pure muhalle me se Kisi ne bhi masjid me aetikaf nahi kiya to pura muhalla gunehgar hoga lihaza kam se kam ek aadmi ka har muhalle ki masjid me aetikaf me bethna zaroori hai.
Lock down me waqt farig hone ke baawajood aetikaf Karne me aham masla khane pine ke intizam ka hai to jis ke khane Ka intizam Masjid me na ho sake woh khud guroob ke baad Ghar khana lene ya khana khane ja sakta hai ye bhi tabee- qudrati zaroorat hai.
📕(KITABUL MASAIL 2/109 BA HAWALA TAHTAWI 384)
agar masjid me koi azan denewala na ho aur mice Masjid ke baahar ho to muazzin azan dene bhi aetikaf me Nikal sakta hai ye bhi sharee zaroorat hai.
📗KITABUL MASAIL 2/114 BAHAWALA HINDIYAH 1)212
lihaza Jin 5 aadmi ki masjid me namaz padhne ki ijazat hai unhin me se ek do aadmi aetikaf Kar le ya muhalle me se Jo bhi taiyyar ho un ko bethhakar rozana ke namaziyon me se utne aadmi Kam Kar diye Jaye taake sarkari qanoon ke khilaf na ho.
Aur Jo har sal aetikaf ki pabandi karte hai unhen Chahiye ke agar Ghar ki aorat aetikaf me na bethti ho to un ko in ke kaam me sath dear aetikaf me bethaye to bethane wale ko bethnewale ke baqadr sawab milega aur Jin ki niyyat aetikaf thi lekin haalat ki wajha se Nahi Beth Paa rahe hai to woh bhi gamzadah na ho niyyat ya mamool ki wajha se un ko bhi aetikaf Ka sawab milega.
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai
📲💻
http://www.aajkasawal.in
http://aajkasawal.page.tl

No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.