TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Sunday, April 26, 2020

RAMZAN SPECIAl: RAMZAN KI CHAND KHUSUSIYATE

🏵🏵  بسمہ سبحانه وتعالیٰ  🏵🏵 

┆  🔮RAMZAN SPECIAl

 ❝ 𝕻 𝖆 𝖗 𝖙  - 04 ❞

📥 RAMZAN KI CHAND KHUSUSIYATE


1. Ye Sabar Ka Mahina Hai,  Yani Agar Roze Me Kuch Taklif Ho To Use Shauk Aur Khush-dili Se Bardasht Karna Chahiye, Mar-dhad Chikh Pukar Nahi Karna Chahiye, Jaise Ki Bahut Se Logo Ki Garmi Ke Ramzan Me Aadat Hoti He, Agar Sahari Nahi Khayi To Subah Hee Se Roze Ka Matam Shuru Kar Diya, Isi Tarah Taravih Me Agar Kuch Pareshani Ho To Isko Badi Khushi Se Bardasht Karna Chahiye, Isko Musibat Aur Aafat Na Samjhe, Ham Log Duniya Ke Chote Chote Kamo Ke Liye Khana, Pina, Rahat Va Aaram Sab Kuch Qurban Kardete Hai, To Kya Allah Ko Raazi Karne Ke Mukable Me In Chizon Ki Koi Ehmiyat Ho Sakti Hai,

2. Ye Gamkhavari Aur Hamdardi Ka Mahina Hso, Yani Garibon Aur Fakiron Ke Saath Achchi Tarah Pesh Aana Chahiye, Agar Apni Iftari Ke Liye Dus Chizen Tayyar Ki Hai To Kam Se Kam Do Chaar Chizen Garibon Ke Liye Bhi Honi Chahiye, Jitna Ho Sake Apni Iftari Aur Sahari Me Se Garibo Ka Bhi Hissa Jarur Kar Dena Chahiye.

3. Jo Shakhs Halal Kamai Se Ramzan Me Roza Iftar Karaye, Us Par Ramzan Ki Raato Me Farishte Rahmat Bhejte Hai, Aur Shabe Qadar Me Jibril (al) Usse Musafa Karte Hai, Aur Jisse Jibril (al) Musafa Karte Hai Uski Nishani Ye Hai Ki Uske Dil Me Narmi Paida Ho Jati Hai, Aur Aankho Se Aansu Behte Hai

4. Naukaro Ke Saath Narmi Huzur  ﷺ Ne Ek Aur Chiz Ki Taraf Tavajjuh Dilayi Ki Malik Apne Mulajimo Par Is Mahine Kaam Ke Bhoj Ko Halka Karde, Isliye Ke Vo Bhi Rozdar Hai, Kaam Ki Jiyadati Ki Vajah Se Unko Pareshani Hogi, Ha Agar Kaam Ki Jiyadati Hai To Isme Koi Haraz Nahi Ki Kuch Dino Ke Liye Ek Do Mulajim Badha Liye Jaye, Agar Mulajim Rozdar Ho.

Agar Mulajim Rozdar Na Ho To Ramzan Ka Hona Na Hona Sab Barabar Hai, Aur Ye Zulam Aur Be-gairati To Hargiz Na Kare Ki Khud Roza Na Rakhe, Aur Rozedar Mulajimo Se Namaz Roze Ki Vajah Se Kaam Ke Pura Karane Me Kuch Susti Ho To Gussa Ho Jaye Aur Datane Lage,

📌 QURAN ME HAI SUREH SHUARA PARA NO 15.

Aur Bahut Jald Zalim Logo Malum Ho Jayega Ki Vo Kaisi Musibat Ki Jagah Laut Kar Jayege, (yani Jahannam Me)

📚  HAVALA- FAZAILE RAMZAN.

🤲🏾 PESHKASH- MAKTABA ASHRAF.

💠💠💠🍃🍃🍃💠💠💠

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.