*Bismilahirrahmanirrahim*
*✦ Is Azkar ko Fajr aur Magrib ke baad 10 baar padhne se bahut sara sawab hasil hota hai*
------------------
*لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ*
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
✦ Tarjumah : Allah ke siwa koi sachch mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi , usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai wo hi zinda karta hai aur wa hi maarta hai aur wo har cheez par qadir hai
✦ Hadith 1 : Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs fajr ki namaz ke baad do zanu hokar baitha rahe (jis tarah tashahud mein baithta hai ) aur phir kisi se baat kiye bagair 10 baar ye padhe to uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge Aur us din har burayee se mehfooz rahega, Aur usko shaitan ki pahuch se dur kar diya jayega aur usko us din shirk ke alawa koi gunah halaq nahi kar sakega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan
✦ Hadith 2 : Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne subah ke waqt 10 martaba ye kalimat padhe to Allah subhanahu ek martaba kahne se 10 nekiya likh dega , 10 burayeeya mita dega , aur uske 10 darjat buland kiye jayenge , aur ye kalimat uske liye 10 gardane aazad karne ke barabar hoga (10 baar kahne se ye ajar 10 guna ho jayega) aur din ke shuru se lekar aakhir tak ye uska hathyar honge aur us din koi shakhs aisa amal nahi karega jo un kalimat se badh kar ho agar wo sham ke waqt ye kalimat padhe to bhi utna hi sawab hai
Al-Silsila-tus-Sahiha-2967-Hasan
*Note : Ye sawab har ek martaba kahne se milega isliye jo 10 martaba kahega uska ajar 10 guna ho jayega*
✦ Hadith 3 : Umarah bin Shabib As-Sabai radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shakhs magrib ke baad 10 baar ye padheto Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishte bhejega jo subah tak shaitan se uski hifazat karenge, uske liye 10 rahmat ki nekiya likh di jayegi, uske das barbad kar dene wale gunah mita diye jayenge, aur 10 musalman gulam aazad karne ka sawab ata kiya jayega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1457-Hasan
------------------
https://youtu.be/L7wdq6THqbQ
*✦: For More islamicAzkar Videos visit our Chanel*
https://www.youtube.com/islamicAzkars

No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.