HAJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT (NISHANI)
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1852⭕
Mufti sahab, mera hajj qubul ho gaya uski koyi alaamat (nishani) hai ?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Ji haan, aap ki hajj Allah Rabbul Izzat ki baargaah me maqbul ho gayi uski alamat yeh hai ke
Hajj ke baad a'amaal e saaleha ka eahtemam aur pabandi aur aakhirat ki taraf ragbat badh jaaye, aur pehli haalat se behtar ho jaye,
{Mard ki daadhi na ho to daadhi rakh le, takhno ke upar payjama na pahanta ho to pahanna shuru karey aur aurat pardah na karti ho to parda karna shuru karey aur dono sharaee libaas ka eateraam karen}
Is liye hajj ke baad apne a'amaal aur akhlak ka khaas taur se khayaal rakhna chahiye aur taa’at aur ibadat me khoob koshish karni chahiye, gunaah aur burey akhlak se nafrat aur parhez karna cahiye,
📚Muallimul hujjaj safah 337 se 341
و اللہ اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
14 Moharram 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.