Zulhijjah ke 10 dino ki ibaadat ki fazilat
⭕Aaj ka sawal no. 1809⭕
Zulhijjah ke 10 dino aur raat me ibadat ki koi khaas fazilat hai ?
Agar hai to hadis ki roshni me batane ki guzarish.
🔵Al Jawab🔵
Huzur ï·º ne irshad farmaya: koi din aisa nahin jin me ibaadat karna khuda ta'ala ko zilhajjah ke 10 dino ki (ibadat) se ziyadah pasand ho, (kyun ke) in me se har din ka rozah 1 saal ke rozah rakhne ke baraabar hai, aur har ek raat ka jaagna shabe qadr me jaagne ke baraabar hai.
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📆29 zee qadah 1440
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.