AsSALAAMu'alaikum wa RAHMATullaahi wa BARAKAATu
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
Hum gawahi dethe hain ke ALLAAH ta'ala ke siwa koi i'badath ke layeq nahi, aur MUHAMMAD (Swal-lel-lahu-'alaihi-wa-sallam) ALLAAH ke bande aur Rasool hain.
🌙*20th Zilhajja, 1440 Hijri*
☀ *22nd August 2019*
Tajdeed-e-eemaan: *Laa-ilaaha-illAL-LAAHu-Muhammadur-RasooluLLAAH
Hum gawahi dethe hain ke ALLAAH ta'ala ke siwa koi i'badath ke layeq nahi, aur MUHAMMAD (Swal-lel-lahu-'alaihi-wa-sallam) ALLAAH ke bande aur Rasool hain.
☀ *22nd August 2019*
1 Jis ne doosron ki koi aisi baat chup kar suni jis ko woh us se chupana chahte the, toh woh qayamat ke din aise shakhs ke kaan mein sheesha pigla kar daala jayega Tirmizi: 1751
2 Mubarak hain woh shakhs jo mutwaaze (aajizi karne wala) ho, us ki kamaai achchhi wa pakeezah ho, us ka baatin (dil) nek ho, us ka zaahir shareefana ho, log us ki buraii se mehfooz hon.Sho'bul imaan: 3388
3. Jab tum bimaar ke paas javo, to us se kaho ke woh tumhaare liye dua kare, kyon ke us ki dua farishton ki dua ki tarah (qabool hoti) hain Ibn-e-maja: 1441
3. Jab tum bimaar ke paas javo, to us se kaho ke woh tumhaare liye dua kare, kyon ke us ki dua farishton ki dua ki tarah (qabool hoti) hain Ibn-e-maja: 1441
Source: Deeniyath, Mumbai, Perceptual Calendars (159th day)
Sabhi ke liye du'a ki khaas guzarish Bhai, Ma-a's-SALAAM.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.