Bismillahirahmanirrahim
Azkar Al-Sabah –Subah ke Azkar
In Azkar ko roz subah aap padhne ki aadat bana lijiye, in sha Allah aapki duniya aur aakhirat behatreen ho jayegi aur aap bahut sari museebato, pareshaniyo, hadso se mehfooz rahoge aur aapke rizq mein bhi barkat hogi
Complete Azkar Video:
1. Ayat Al Kursi ki Fazilat
----------------
✦ Hadith 1: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi isko (Ayat Al kursi ko) subha padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega
Al-Hakim, Al Targeeb wa Al Tarheeb, 1/273- Sahih
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ
لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ
مَن ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِندَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ
وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِّنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ
وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ
Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum,
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard)
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih,
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum,
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa,
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard)
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma)
wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255
Tarjuma: ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi, Zinda hamesha rahne wala,use na ungh aati hai na neend, jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai, kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe, uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai
Video : https://youtu.be/RF_wG6QdAJE
2✦ Hadith: Ye teen surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi
-------------
✦ Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain) to
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ، اللَّـهُ الصَّمَدُ، لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ، وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
---------------
: Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
AL Quran , Surah Al-ikhlas (112)
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ، وَمِن شَرِّ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
---------------
Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbil falaq, Min sharri ma khalaq
wa min sharri Ghasiqin iza waqab, wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad
wa min sharri Haseedin iza hasad
-------------
Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se jab wo hasad kare
Al Quran Surah Al-Falaq (113)
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ،
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ، مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ
Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas, Min Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi (lazi) Yuwaswaso fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas
Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.
Al Quran, Surah An-Nas (114)
Video: https://youtu.be/UHQa26K9iS0
-----------------------------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Jab Subha Karte to Ye dua farmate
أَصْبَحْنَا وَأَصْبَحَ الْمُلْكُ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ،
لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
رَبِّ أَسْأَلُكَ خَيْرَ مَا فِيْ هَذَا الْيَوْمِ وَخَيْرَ مَا بَعْدَهُ
وَأَعُوْذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا فِي هَذَا الْيَوْمِ وَشَرِّ مَا بَعْدَهُ
رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنَ الْكَسَلِ، وَسُوءِ الْكِبَرِ
رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنْ عَذَابٍ فِيْ النَّارِ وَعَذَابٍ فِيْ الْقَبْرِ
✦ Asbahna wa Asbahal-mulku Lillah, Wal-hamdullilah,
wa la ilaha illallah, wahdahu la sharika lahu
Lahul-mulku wa lahul-hamdu, wa huwa `ala kulli shai'in qadir.
Rabbi Asa'luka khaira ma fi hadhihil-yaum, wa khaira ma ba`daha,
wa Audhubika min sharri hadhihil-yaum, wa sharri ma ba`daha,
wa a`udhu bika minal-kasali wa sueel-kibar,
wa a`udhu bika min Adhabin-naar, wa Adhabil-qabr
✦Tarjuma: Ham aur Sara Mulk Subha Ke Waqt Allah Subhanahu Ka hua, Sari Hamd Allah Ke liye hai, Allah Ke Siwa Koi Ibadat ke layaq nahi Wo akela hai Uska koi Sharik nahi , sari badshahat ussi ki hai , sari tarif bhi usee ke liye hai aur wo har Cheez par puri qudrat rakahne wala hai , Eh Mere RABB Mein tujhse us bhalayi Ka talabgar hu Jo iss din Mai hai aur Jo iss ke baad hai , Aur Mein tujhse Panah mangta hu us burayee se Jo iss din Mai hai aur Jo iss ke baad hai Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu susti se aur budhape ki kharabi se , Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu Jahannam ke azab se aur Qabr ke azab se
Sahih Muslim, Jild 6, 6907
Video : https://youtu.be/mM-iwTaELaE
4 ✦ Subah ke waqt padhne ki dua
------------
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Subah ko ye dua padha kijiye
اللَّهُمَّ بِكَ أَصْبَحْنَا، وَبِكَ أَمْسَيْنَا، I نَحْيَا، وَبِكَ نَمُوتُ، وَإِلَيْكَ النُّشُورُ
Allahumma bika Asbahna wa bika Amsayna wa bika Nahya wa bika Namutu wa ilaikan Nushur
✦Tarjuma: Ya Allah humne tere hi naam se subah ki aur tere hi naam se sham ki aur teri hi naam se jeete hain aur tere hi naam par marenge aur teri hi taraf luat kar aana hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 749-Sahih
Video: https://youtu.be/wwg8j9Hy2-g
5✦ Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) Ki Fazilat
--------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai.
اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya,
wa Abu'u Laka bizambi, fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
✦ Tarjuma : Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
Sahih Bukhari, Vol 7, 6306
Video: https://youtu.be/JQTMcihYuy0
---------------------------
6✦ Hadith : Jis shakhs ne 3 baar ye kaha to Allah usko puri tarah aag se aazad farma dete hain
-------------
✦ Salman Farsi Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shakhs ne 1 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu uska ek tihayee (1/3) hissa aag se aazad farama dete hai, jis shakhs ne 2 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu uska do tihayee (2/3) hissa aag se aazad farama dete hai, jis shakhs ne 3 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu usko puri tarah aag se aazad farma dete hain
اللَّهُمَّ إِنِّي أُشْهِدُكَ وَأُشْهِدُ مَلَائِكَتَكَ وَحَمَلَةَ عَرْشِكَ، وَأُشْهِدُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَمَنْ فِي الْأَرْضِ،
أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ وَحْدَكَ لَا شَرِيكَ لَكَ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُكَ وَرَسُولُكَ
✦ Allahumma inni Ushhiduka Wa Ushhidu Malaeekataka wa Hamalata Arshik,
Wa Ushhidu man fis-samawati Wa man fil-Ard, Annaka AntAllah, La ilaha illa Ant,
Wahdaka La sharika lak, Wa Ashhadu Anna, Muhammadan Abduka Wa Rasooluk
✦Tarjuma: Eh Allah main tujhe gawah banata hun,Aur tere farishto aur tera arsh uthane walo ko gawah banata hu aur aasman aur zameen mein mojud makhluq ko gawah banata hu ki tu hi Allah hai aur tere siwa koi sachcha mabud nahi , tu akela hai , tera koi sharik nahi aur main gawahi deta hun ki
Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam tere bande aur Rasool hai
Al Silsila As Sahiha, 2966-Sahih
Al-Daawat Al-Kabir, Bahiqi, 184-Hasan
Video: https://youtu.be/NcgwZ1YvDtU
7✦ Hadith : Jis ne Subah Ke Waqt Ye dua padhi to usne us din ka shukr adaa Kar diya
---------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaye Jis ne Subah ke Waqt Ye dua padhi to usne us din ka shukr adaa Kar diya
اللَّهُمَّ مَا أَصْبَحَ بِي مِنْ نِعْمَةٍ ، أَوْ بِأَحَدٍ مِنْ خَلْقِكَ ، فَمِنْكَ وَحْدَكَ لا شَرِيكَ لَكَ ، فَلَكَ الْحَمْدُ وَلَكَ الشُّكْرُ
Allahumma ma asbaha bi min ni’matin Aw bi-ahadin min khalqika fa minka
wahdaka la shareeka laka ,Falakal-Hamd, walakash-shukr
✦Tarjuma: Ya Allah Subah ko jo naimat mere paas hai ya teri kisi makhluq ke pass hai wo teri hi di huyee hai , Tu Akela hai tera koi Sharik nahi , tere hi liye sari tarifen hain aur tere hi liye shukr hai.
Sahih Ibn Hibban, 868-Hasan, Shuab-ul-Iman, Al Baihiqi 4053-Sahih
Al-Sunan Al-Kubra, An-Nasaii, 9447-Sahih
Video: https://youtu.be/wORhXqmcLqM
8✦ Badan ke aafiyat (salamati) ki dua
-------------
✦ Abdul rahman bin Abu bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone apne walid se pucha ki Abbu jaan main aapko har subah aur sham ko teen martaba ye dua padhte huye sunta hu
اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta.
Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan
Video: https://youtu.be/kpfTLoy61PI
9✦ Duniya aur aakhirat mein aafiyat aur kaamyabi ki dua
--------------
✦ Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne subah aur shaam ko inn duao ko padhna kabhi nahi chorha
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِي وَمَالِي
اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي اللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَىَّ وَمِنْ خَلْفِي
وَعَنْ يَمِينِي وَعَنْ شِمَالِي وَمِنْ فَوْقِي وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي
✦ Allahumma inni As'alukal-'afwa wal-'afiyah Fid-dunya wal-akhirah.
Allahumma inni as'alukal-'afwa wal-'afiyah fi dini wa dunyayee, wa Ahli wa maali. Allahum-mastur 'awrati, wa amin raw'ati, wahfazni min bayni yadayya, wa min khalfi, wa 'an yamini wa 'an shimali, wa min fawqi, wa 'audhu bi azmatika an ughtala min tahti
✦Tarjuma: Eh Allah Mein tujhse duniya aur akhirat mai aafiyat ka sawal karta hu, Eh Allah Mein tujhse apne Deen aur duniya aur apne gharwalo mein aur apne maal mein maafi aur aafiyat ka sawal karta hu Eh Allah mere aib Chupa de, mere dil ko mutmayeen kar de aur mere aage aur peeche aur daayein aur baayein aur upar se meri hifazat farma aur main teri panah chahta hu teri azmat ke saath , ki neeche se halak kiya jauu yani zameen mein dhansa diya jauu
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1637-Sahih
Video: https://youtu.be/bPd_AGd3tSA
10✦ Apne Nafs aur Shaitan ki burayee se bachane ki dua
---------------
✦ Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-siteAllahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe subah aur sham ko koi dua padhne ka hukm de dijiye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasalam ne farmaya is dua ko tum subah ko sham ko aur waqt padh liya karo
اللَّهُمَّ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي وَمِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ
✦ Allahumma Aalimal-ghaibi wash-shahadati faṭiras-samawati wal-arḍ, Rabba kulli shai’in wa malikahu, Ash-hadu an la ilaha illa anta, Audhu bika min sharri nafsi wa min sharrish-shaiṭāni washirkihi
✦ Tarjuma : Eh Allah Eh gaib aur khuli baato ko janne wale , Aasman aur zameen ko palne wale , har cheez ke RABB aur malik ,main gawahi deta hu ki tere siwa koi mabud nahi aur main tujhse apne nafs ki burayee aur shaitan ki burayee aur uske shrik se panah maangta hu
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1316-Sahih
Video: https://youtu.be/Dulff3gkLzo
------------------------
11✦ Nagahani museebat yani achanak aane wali musaeebat se bachne ki dua
-------------
بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
✦ Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.
✦Tarjuma: Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunne wala aur janne wala hai
✦ Aban bin uthman radi allahu anhu se rivayat hai ki maine Uthman Radi allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisne (shaam ko) 3 martaba ye dua parhi usey subah tak koi nagahani Museebat nahi pahuchegi aur jisne subah ko 3 martaba ye dua parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi Raavi (Hadith rivayat karney wale) kahte hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij(laqwa) ho gaya tha to wo shaksh jisney unse ye hadith rivayat ki thi wo unhe dekhne laga to Aban ne unse farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf dekhta hai, Allah ki kasam maine na to Uthman radi allahu anhu par aur na Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz mujhe ye Falij (laqwa) hua us roz main gusse mein tha aur ye Dua parhna bhul gaya
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1647-Sahih
Video: https://youtu.be/E-tQRJMvmgc
12✦ Jo is dua ko subah sham padhega to Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge
---------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi musalman ya insaan (ya banda) subah sham ye kalimat kahe
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ ﷺ نَبِيًّا
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
To Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge.
✦Tarjumah: main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Nabee hone par
Sunan Ibn Majah, Jild 3, 751-Hasan
Sahih Ibn Hibban, 870-Hasan
Video: https://youtu.be/saBe2e_Uo-o
13 ✦ Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua
---------------
✦Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Fatima Radi Allahu Anha se farmaya Jab tum Subah ya shaam mein dakhil ho
to to is tarah kaha karo
يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا
✦ Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith, Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda
mujhe mere nafs ke hawale na kar
Al Silsila As sahiha, 2942
Video: https://youtu.be/WB9sc24gd60
14 ✦ SubhanAllahi Wa Bihamdehi kahne ki fazilat
--------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs subha aur sham ko 100 baar
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ
SubhanAllahi wa Bihamdehi padhega to Qayamat ke din us se behtar amal koi lekar nahi aayega magar jo utna kare ya us se zyada kare
Sahih Muslim, Jild 6 6843
Video: https://youtu.be/uYjZ3uPPQ6I
15✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis ne ye kalma Din mein 10 martaba Parh liya
----------------
✦ لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ ✦
✦ La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
✦Tarjuma: Allah ke siwa koi mabud nahi hai, Wo tanha hai uska koi sharik nahi hai, usee ke liye baadshahi hai aur usee ke liye tarifein hainAur wo har cheez par kudrat rakhne wala hai
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ye kalima 10 baar padhe usko itna sawab hoga jaise Hazrat ismaeel Aaihi salam ki aulad mein se 4 shakhson ko aazad karwaya.
Sahih Muslim, Jild 6, 6844
Video: https://youtu.be/XJ8sgxFHflg
-------------------
16✦ Subah ke sare azkars mein se meezan par sabse bhari azkar
-------------
✦ Ummul Momineen Juwairiyah Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam subah ko unke pass se nikle, wo apni namaz ki jagah mein subah ki namaz ada kar rahi thi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha ji haan.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallamne farmaya maine tumhare baad chaar kalme 3 baar padhe , agar in kalmo ka wajan kiya jaye un kalmo ke saath jo tumne aaj abhi tak padhe hain to yahi bhari rahnege wo kalimat ye hain
سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه
وَرِضـا نَفْسِـه
وَزِنَـةَ عَـرْشِـه
وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه
Subhaanallaahi wa bihamdihi Adada khalqihi
Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi
Wa Midaada Kalimaatihi
Tarjuma: Main Allah subhanahu ki hamd bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur uski khushi ke barabar, Aur uske Arsh ke wazan ke barabar, aur uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar. (Yani lamahdud kalimat ke barabar)
Sahih Muslim, Jild 6, 6913
Video: https://youtu.be/NSdfPxa721w
17✦ ilm aur rizq mein barkat ki dua
-------------
✦ Umm Salma Radi Allahu anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab subah ki namaz mein salam pherte to uske baad ye dua padhte
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، وَرِزْقًا طَيِّبًا، وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا
Allahumma inni Asaluka ilman Nafiaa, Wa Rizqan Tayyiba Wa Amalan Mutaqabbala
✦Tarjuma: Eh Allah main tujhse nafa dene wale ilm aur pakiza rizq aur qubul hone wale amal ka sawal karta hun
Sunan ibn Maja, Jild 1, 925-Sahih
Video: https://youtu.be/Ek-hAhebGtU
--------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne ye kalimat kahe to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
✦ Tarjuma: Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi, Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1504-Sahih
Video: https://youtu.be/nWHWaqmAOZc
19✦ Zahreele Jaanwaroh aur Cheezoh se Hifazat
----------------------
✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jo shakhs sham ko 3 martaba ye dua padhega to usko us raat koi bhi zahreeli cheez nuqsan nahi pahuchayegi
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
✦Tarjuma: Panah mangta hu main Allah ki,Pure kaimat ke jariye,Har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai
Jamia Tirimizi, Jild 2, 1528-Sahih
Note : Aksar ulmao ka kahna hai ki agar koi is dua ko subah bhi 3 baar padh lega to sham tak usko koi zahreeli cheez nahi pahuchayegi
Video: https://youtu.be/Fn0FIxU9OQo
20✦ Jahannam ki aag se aazadi dilane wali dua
----------------
اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ
Allahumma Ajirni Minan Naar
Eh Allah mujhe Jahanam ki aag se bacha
Agar tumne ye dua padh li aur us din tumhari wafat ho gayee to tumhare liye Jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi aur jab magrib ki namaz se farig ho jao tab bhi 7 baar ye hi dua padh liya karo , agar tumne ye dua padh li aur raat mein tumhari wafat ho gayee to tumhare liye jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi
Al-Mu'jam Al-Kabeer, Tabrani, 16425, Hasan
Nata'ij Al-Afkar, 1/162, Hafiz Ibn hajar -Hasan
Video: https://youtu.be/dgvj3Y2gLJc
21✦ Subah aur Sham ko RasoolAllah ﷺ par 10 baar durud bhejne ki fazilat
--------------
Abu Darda Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par subah 10 baar aur sham ko 10 baar durud bhejega to usko Qayamat ke din meri shafaat hasil hogi.
Sahi Al Jame - 6357-Hasan
Sahih Al Targeeb Wa Al tarheeb, 659-Hasan
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
✦ Eh Allah Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par Rahmat nazil farma
Video: https://youtu.be/PE3rg786GL0
--------------
https://www.facebook.com/islamicAzkars
https://www.youtube.com/islamicAzkars
https://www.instagram.com/IslamicAzkars
https://www.facebook.com/OnlyQuranHadith
https://twitter.com/IslamicAzkars
Only-Quran-Hadith.blogspot.com
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.