╂──────────────╂
🌀 Qurbani Ke Fazail 🌀
╂──────────────╂
📿 ★ Aur Masail ★ 📿
╂──────────────╂
❍╍╍❨Post No-03❩╍╍❍
✧⇝❥❥ Qurbani Kis Per Wajib Hai➻2.
✦⇝Chandi Ke Nisaab Bhar Malik Ho Jane Per Qurbani Wajib Hai,
✧≫Qurbani Sahibe Nisaab Per Har Saal Wajib Hai,
✦⇝ Zakaat Me Nisaab Per Saal Guzarna Shart Hai Lekin Qurbani Ke Wajib Hone Ke Liye Saal Guzarna Shart Nahi, Balki Koi Shakhs Qurbani Ke Din Sahibe Nisaab Ho Gaya To Us Per Qurbani Wajib Hogi,
✦⇝Ek Hee Ghar Me Baap, Bete, Betiya, Bivi Agar Sahibe Nisaab Ho To Har Ek Per Alag Alag Qurbani Wajib Hai,
✧➢Maqrooz {Qarzdar} Ko Agar Qarz Ada Karne Ke Baad Saade Bavan Tola Chandi Ki Maliyat Hajaat Asliya Se Za'Id {Extra} Mojood Ho To Qurbani Wajib Hai
✦⇝Agar Qurbani Ke Din Guzar Gaye To, Gaflat Ya Kisi Aur Uzr Se Qurbani Na Kar Saka To Qurbani Ki Qeemat Fuqra Masakeen Per Sadqa Karna Wajib Hai, Lekin Qurbani Ke 3 Dino Me Janwar Ki Qeemat Sadqa Kar Dene Se Ye Wajib Ada Na Hoga,
✧➢Sahibe Nisaab Per Guzishta Jitne Saalo Ki ( Jabki Wo Sahibe Nisaab Tha Aur Qurbani Nahi Ki) Qurbani Wajib Thi Aur Ada Nahi Ki To Un Saalo Ka Hisab Karke ( Ek Hisse Ki Qeemat Jitni Banti Hai) Wo Raqam Kisi Faqeer Per Sadqa Karna Wajib Hai,
✦⇝Gunjaish Ho To Apne Marhoom Buzurgo Ki Taraf Se Aur Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ki Taraf Se Zaroor Qurbani Ki Jaye,
✧➢Lekin Agar Sahibe Nisaab Hai To Pehle Apni Taraf Se Qurbani Kare Aur Doosri Qurbani Marhoom Buzurgo Aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ki Taraf Se Alag Kare,
✧➢Jis Per Qurbani Wajib Nahi Agar Wo Bhi Qurbani Kare To Use Bhi Poora Sawab Hoga,
🗂 Aapke Masail Or Unka Hal,
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.