TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Thursday, June 27, 2019

Hajj: HAJ ME JANE KE LIYE HAQEEQEE TAIYYARI


HAJ ME JANE KE LIYE HAQEEQEE TAIYYARI

⭕AAJ KA SAWAL NO.1773⭕

Haj me jane walon ko haqeeqee taiyyari kiya karni chahiye ?

🔵JAWAB🔵
 حامدا و مصلیا و مسلما

Agar aap par haj farz hai aur aapne haj par jane ka iradaa kar liyaa hai, To is neamate uzmaa ki qadro qimat ko pahechaniye aur apne andar mahsus kijiye, ke Allah taala ne apne muqaddas ghar aur Apne mahboob ﷺ  ke muqaddas shahar ki hazri ke movqe ki baat aap ke dil me daali, Aur uske asbaab bhi aapko muhaiya farma diye.

Ab is nemate uzma ka shukriya ye hai ke,

Apne aap ko harmain sharifain ki rehmato barkato anwarat aur tajalliyat ke husul ke liye apne aapko Hajj ke aamaal seekhne ki taiyari me lag jaye.

Isliye ke bada hi bad nasib hai wo shakhs jisko Uska mavla behtareen safar nasib kare Aur wo apne aapko  waha ki hazri  ke aadab aur tareeqa seekhne ki aur banane sanwarne ki  fikr na kare, Aur yunhi gaflat aur besuouri-naa sanjhi ke sath waha ja pahonche.

Isliye zaroori hai ke ham deen ka ilm sikh kar aur apne gunahon se sachi touba kar ke Aur logo ke huquq baqi ho usko adaa kar ke ya muafi kara kar pak saaf ho kar Allah taala ke aali darbaar me pahonche.

Alhamdulillah har shaher me aur har jagah haj ke aadab aur arkan sikhane ki fikr hoti hai, camp-jod bhi hote hai, Aur masajido me bhi haj ke aadab sikhaye jate hai.

Aap apna qimti waqt nikal kar masturat ko masturat ke liye jaha arkan seekhaye jate ho bheje, aur khud bhi pabandi se jude aur haj ke mavzooa par muatabar kitaben bhi khareedkar parhna shurooa kar de.

Aur aap sathi bhi fikr karle ke jo hazrat haj par ja rahe hai unhe targeeb dekar haj ke arkano aehkam sikhne ki, ho sakta hai aap ki mehnat se kai logo ka hajj saheeh ho jaye aur aap zariya ban jaye.

📚makhuz hajj sunnat ke mutabiq

و الله اعلم بالصواب

🤲🏻Allah taala sabko har amal sikh kar fikro ke sath karne ki toufiq ataa farmaye. Aamin.

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
23 Shawwal-Ul-Mukarram 1440 HIJRI


 हज की हक़ीक़ी तैय्यारी

⭕आज का सवाल नंबर १७७३⭕

हज में जाने वालों को हक़ीक़ी तैयारी कया करनी चाहिए ?

🔵जवाब🔵
     حامدا و مصلیا و مسلما
   
अगर आप पर हज फ़र्ज़ है और आपने हज पर जाने का ईरादा कर लिया है, तो इस नेअमते उज़्मा की क़द्रो क़ीमत को पहचानिये और अपने अंदर महसुस कीजिये, के अल्लाह तआला ने अपने मुक़द्दस घर और अपने महबूब ﷺ  के मुक़द्दस शहर की हाज़री के मोवके की बात आप के दिल में डाली, और उसके अस्बाब भी आपको मुहैया फरमा दिए।

अब इस नेमते उज़्मा का शुक्रिया ये है के

अपने आप को हरमैन शरीफ़ैन की रेहमतो बरकतो अनवारात और तजल्लियात के हुसूल के लिए अपने आपको हज के आमाल सीखने की तयारी में लगा दिया जाए।

इस लिए के बड़ा ही बदनसीब है वो शख्स जिसको उसका मवला बेहतरीन सफर नसीब करे और वो अपने आपको  वहां की हाज़री  के आदाब और तरीक़ा सीखने की और बनाने सँवारने की  फ़िक्र न करे, और यूँही ग़फ़लत और बेसुउरी-ना साँझी के साथ वह जा पहोंचे।

इस लिए ज़रूरी है के हम दीन का इल्म सिख कर और अपने गुनाहों से सच्ची तौबा कर के और लोगो के हुक़ूक़ बाकी हो तो उसको अदा कर के या मुआफी करा कर पाक साफ़ हो कर अल्लाह तआला के आली दरबार में पहोंचे।

अल्हम्दुलिल्लाह हर शहर में और हर जगह हज के आदाब और अरकान सीखाने की फ़िक्र होती है, कैंप-जोड़ भी होते है, और मसजिदों में भी हज के आदाब सिखाये जाते है।

आप अपना क़ीमती वक़्त निकाल कर मस्तुरात को मस्तुरात के लिए जहा अरकान सीखाये जाते हो भेजे, और खुद भी पाबन्दी से जुड़े और हज के मव्जूआ पर मोअतबर किताबेँ भी खरीदकर पढना शुरू कर दे।

ओर आप साथी भी फ़िक्र करले के जो हज़रात हज पर जा रहे है उन्हें तरग़ीब देकर हज के अरकानो अहकाम सिखने की, हो सकता है आप की मेहनत से कई लोगो का हज सहीह हो जाये और आप जरिया बन जाए।

📚माखूज़ हज सुन्नत के मुताबिक़

و الله اعلم بالصواب

🤲🏻अल्लाह तआला सबको हर अमल सिख कर फ़िक्रों के साथ करने की तौफ़ीक़ अता फरमाए। आमीन।
و الله اعلم بالصواب

🌙इस्लामी तारीख़🗓
२३शव्वाल उल मुकररम१४४०~हिज़री

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन.
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

https://aajkasawal.in/१७७३-हज-में-जाने-के-लिए-हक़ी/
http://aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.