╂──────────────╂
🌀 Qurbani Ke Fazail 🌀
╂──────────────╂
📿 ★ Aur Masail ★ 📿
╂──────────────╂
❍╍╍❨Post No-02❩╍╍❍
✧⇝❥Qurbani Kis Per Wajib Hai Aur Kis Per Nahi {Details ke Saath hai isliye post thodi lambi ho gayi lekin aap jarur padhna}
✧⇝★ Chand Soorato Me Qurbani Karna Wajib Hai, Aur Chand Me Nahi
✧➻❥ 2- Kisi Shakhs Ne Marne Se Pehle Qurbani Ki Vasiyat Ki Ho Aur Itna Maal Chhora Ho K Uske Tihai 1/3 Maal Se Uski Taraf Se Qurbani Ki Ja Sake To Uski Taraf Se Qurbani Karna Wajib Hai,
✧➻❥ 3- Jis Shakhs Per Sadqa Fitr {Zakaat} Wajib Hai Us Per Qurbani Ke Dino Me Qurbani Karna Bhi Wajib Hai,
✦⇝ Jis Shakhs Ke Paas Rihaishi Makaan, Khane Pine Ka Samaan, Istemal Ke Kapdo Aur Rozmarah Ki Istemal Ki Doosri Cheezo Ke Alawa Saade Bavan Tola Chandi Ki Maliyat Ka Naqad Rupya, Maal Tijarat Ya Digar Samaan Ho Us Per Qurbani Karna Wajib Hai,
✦⇝Maslan Ek Shakhs Ke Paas Do Makaan Hai, Ek Makaan Uski Rihaish {Rehne} Ka Aur Doosra Khali Hai To Us Per Qurbani Wajib Hai, Jabki Us Khali Makaan Ki Qeemat Saade Bavan Tola Chandi Ki Maliyat Ke Barabar Ho,
✦⇝ Ya Maslan Ek Makaan Me Wo Khud Rehta Ho Aur Doosra Makaan Kiraya Per Uthaya Ho To Us Per Bhi Qurbani Wajib Hai, Albatta Agar Uska Zariya Ma'Ash Yahi Makaan Ka Kiraya Hai To Ye Bhi Zaruriyat Zindgi Me Shumar Hoga Aur Us Per Qurbani Karna Wajib Nahi,
✦⇝ Ya Maslan Kisi Ke Paas Do Gaadiya Hai, Ek Aam Istemal Ki He Aur Doosri Za'Id ( Extra) Hai To Us Per Bhi Qurbani Wajib Hai,
✦⇝ Ya Maslan Kisi Ke Paas Do Plot Hai Ek Makaan Banane Ke Liye Hai Aur Doosra Za'Id ( Extra) Hai, To Agar Uske Doosre Plot Ki Qeemat Saade Bavan Tola Chandi Ki Maliyat Ke Barabar Ho To Us Per Qurbani Wajib Hai,
✦⇝ Aurat Ka Mehar Mu'Ajjal Agar Itni Maliyat Ka Ho To Us Per Bhi Qurbani Wajib Hai, Ya Sirf Walden Ki Taraf Se Diya Gaya Zever Aur Istemal Se Za'Id ( Extra) Kapde Nisaab Ki Maliyat Ko Pahunchte Ho To Us Per Bhi Qurbani Wajib Hai,
✦⇝Ek Shakhs Ke Paas Paidawar Ki Zameen Hai, Jiski Paidawar Se Uski Guzar Basar Hoti Hai, Wo Zameen Uski Zarooriyat Me Samjhi Jayegi,
✦⇝ Ek Shakhs Ke Paas Hal Jotne Ke Liye Bail ( Ox) Aur Doodhari Gaay ( Cow), Bhais( Buffalo) Ke Alawa Aur Maveshi Itne Hai K Unki Maliyat Nisaab Ko Pahunch Jaye To Us Per Qurbani Karna Wajib Hai,
✧➻❥ 4-Ek Shakhs Sahibe Nisaab Nahi, Na Qurbani Us Per Wajib Hai Lekin Usne Shoq Se Qurbani Ka Janwar Kharid Liya To Qurbani Wajib Hai,
✦⇝ Sahi Qaul Ke Mutabik Bachche Aur Majnoon Per Qurbani Wajib Nahi, Chahe Wo Maaldar Ho,
🗂 Aapke Masail Or Unka Hal,
✭
✭
👥→ ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.