★SAWALAAT E RAMZAN ★
╂─────────────────╂
┗────┯ posÑ‚ Õ²o☞20
★Agar Bhool Kar Kha Liya, Ya Kai {Ultee} Ho Gayi Aur Ye Samajh Liya K Mera Roza Toot Gaya Aur Kha Pee Le, To Roza Toot Gaya Aur Qaza Wajib Hai,
⇨ Lekin Ye Masla Maloom Tha K Kai {Ultee} Se Roza Nahi Toot Ta, Ya Bhool Se Kha Pee Lene Se Roza Nahi Tootta, Iske Bavjood Kuchh Kha Pee Le To Is Soorat Me Uske Zimme Kaffara Aur Qaza Do No Laazim Honge,
Agar Us Ki Taqat Na Ho To 60 Faqeeron Do Waqt Pet Bhar Kar Khana Khilaye Is Taur Par Ke Dono Waqt Wohee Faqeer Ho
Ya 60 Faqeeron Me Se Har Ek Ko Pone Do Kilo Ghehun Ya Us Ki Qeemat Ya Pone Do Kilo Ghehun Jitni Qeemat Me Aate Hai Utne Rupye Ke Chaval, Jawar Bajra Wagaieah Bhi De Sakte Hai.*
📗Fatawa Raheemiyah 7/271.
★ Agar Khoon Halaq Me Chala Gaya To Roza Toot Jata Hai,
★ Roza Ki Haalat Me Gargara Karna Aur Naak Me Jor Se Paani Chadana Mamnu’A {Mana} Hai {Kyun Ki Kabhi Kabhi Paani Halaq Me Pahunch Jaane Ka Dar Hai},
★ Roza Ki Haalat Me( Bidi ) Cigarette Ya Hukka Peene Se Roza Toot Jata Hai,
★ Sehri Khatam Hone Se Pehle Koi Cheez Moonh Me Rakh Kar So Gaya,To Roza Nahi Hua,
(Chahe Jab Jaaga To Sehri Ka Time Nikal Chuka Tha, Fir Moonh Ki Cheez Nikaal Kar Fek Di Aur Kulli Kar Li Ho Jaise Tambaku Wagairah )
★ Danto Me Gosht Ka Resha Ya Koi Cheez Reh Gayi Thi, Aur Khud Ba Khud Andar Chali Gayi, To Agar Chane Ke Dane Ke Barabar Ya Usse Zyada Thi To Roza Jata Raha, Aur Agar Chane Ke Dane Se Kam Thi To Roza Nahi Toota {Lekin Behar Hai Ke Usko Khud Nikah Le Jab Aisa Mehsoos Ho},
★ Agar Bahar Se Koi Cheez Daalkar Nigal Li To Chahe Thodi Ho Ya Zyada Usse Roza Toot Jata Hau,
★ Kisi Aurat Ko Sirf Dekhne Se Inzaal Ho Jaye ( Mani Nikal Jaye) To Roza Nahi Toot Ta, Lekin Gale Lagane Se, Bosa Lene Se Inzaal Ho To Roza Toot Jata Hai, Sirf Qaza Wajib Hogi,
📓 Aapke Masqil Aur Unka Hal,3/241
Read and Share With Others
※☆▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔※☆※
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.