┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
Bismillahirrahmanirrahim
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat
PART— 27
Ramzan ke Baad Zindagi Kese Guzare,
Jab Ramzan Nizamul Avqaat ki nekiyo ki pabandi ke saath guzrega to in sha Allah ta’ala poora saal Allah ki madad, nusrat aur tofeeq ke saath guzrega,
Tauba istigfaar kasrat se karo,
Israaaf se bacho, aam tor per dekha jata he k Ramzan me israafe ta’aam aur ifraate naum me log zyada mubtila hote hai, yani zyada khana aur zyada sona,,
→ ab jahiri baat he jab zyada khakar aur sokar Ramzan guzrega to poora saal be-barkati wala hi hoga,
⇨ Ramdhan ke baad Pabandi kare:-
★ Farz Namazo ki pabandi ba-jama’at kare,,
★ Namaze vitr ki pabandi kare,,
★ Sunnan Mokada ka ahatmam kare,,
★ Qurane paak ki tilawat ki pabandi kare,,
★ Halaal rizq per guzara kare,,
★ Allah ke Deen ki mehnat kare, apne jaan, maal or waqt ki tarteeb banaye,
↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 18
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ ◆ Alhamdulillah Mukammal ◆
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.