┌━──✿────────✿──━┐
Aurato Ke Liye Ramazan
Ke Kuch Khaas Masail
└━──✿────────✿──━┘
❀═★☜╣【 Post-06】╠☞★═❀ ┄┅┅┅✽☆••❀●❀●❀••☆✽┅┅┅┄
⊙ R O Z A ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ _3- Gair Rozadar Shohar Ne Rozadar Bivi Se Sohbat Ki To Kya Hukm Hai?
ⓢ _Ek Mard Bager Roza Maahe Ramzan Me Apni Rozadar Bivi Se Is Khayal Me K Shayad Roza Se Nahi Hai Sohbat Karta Hai, Bivi Ne Samjha Mera Roza Shohar Ko Maloom Hai Aur Shayad Roza Me Mubashrat Jaa’Iz Hogi, Taaham Mard Se Daryaft Kiya To Mard Foran Alag Ho Gaya, Ab Kaffara Kiske Zimme Hai?
Is Soorat Me Agar Dakhool Ho Gaya To Kaffara Aurat Per Laazim Hai,
Aur Agar Ek Dafa 60 Miskeeno Ko Khana Nahi Khila Sakte To Ye Durust Hai K Ek Miskeen Ko 60 Din Tak Dono Waqt Khilate Rahe,
Ya Rozana Usko Qeemat Nisf Saa’A Gandum Ki Dete Rahe,
Ya 60 Miskeeno Ko Is Tarah Qeemat Taqseem Kare K Har Miskeen Ko Ek Fitra Ki Qeemat Yani Nisf Saa’A Gandum Pone Do Ser Ki Qeemat De De,
📓 Fatawa Darul Uloom, 2/437
☞ _04- Roza Me Lipstick Lagana ,
ⓢ_Aurat Ko Roza Ki Haalat Me Labo Per Surkhi Lagana Jaa’Iz Hai Ya Nahi?
👉🏻 Jaa’Iz Hai, Albatta Moonh Ke Andar Jane Ka Ahatmaal Ho To Makrooh Hai,
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.