➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Namaz Salahtul Tasbeeh
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
⇏iske Do tareeqe manqool he'n ,Kisi bhi tareeqe ke mutabiq ye Namaz padhi ja sakti he ,
☞ Pehla Tareeqa ,
❉ is Namaz ko padhne ka Tareeqa Jo Hazrat Jo Hazrat Abdullah bin Mubarak se Tirmizi Sharif me mazkoor he ye k ,Takbeere Tehrima ke baad Sana Yani " Subhaanaka llahumma " padhe Fir Tasbeeh yani
"
سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ
" Subhaanallahi Wal hamdulillahi Wa laailaaha illallahu Wallaahu Akbar " 15 martaba padhe ,
⇏ ,أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
" A'uzubillahi minash shaytaanir rajeem ,"
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
" Bismillahir rahmaanir raheem " Padhe Fir " Alahamdu Sharif aur Soorat padhe ,fir qayaam me hi Ruku me Jane Se pehle hi Tasbeeh 10 martaba padhe ,
⇏Fir Ruku kare aur Ruku ki Tasbeeh ke baad wahi Kalamaa 10 martaba kahe ,fir Ruku se uth kar qoma me " Sami'allah........" Ke baad 10 baar aur dono Sazdo me Sajde Kï Tasbeeh ke baad 10 - 10 baar aur dono Sajdo ke darmiyan bethne Kï haalat me Yani Jalse me 10 baar wahi kalamaate Tasbeeh padhe ,is tarah har Raka'at me 75 martaba aur 4 Raka'at me 300 martaba ye kalamaat Tasbeeh ho jayegi ,
📚 Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
☞ Doosra Tareeqa ,
❉ Doosra Tareeqa Jo Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se manqool he ,Wo ye he k "
Step 2- Surah Ke Bad 15 Martaba Wo Kalimat padhe
Step 3- Ruku Me Ruku Ki Tasbeeh Ke Bad 10 Bar Wo Kalimat Padhe
Step 4- Ruku Se Uthne Ke Bad Khade Ho Kr Jalse Me 10 Bar Wo kalimat Padhe
Step 5- Sajde Me Sajde ki Tasbeeh Ke Bad 10 Bar wo kalimat Padhe
Step 6- Sajde Se Uth Kr Kooma Me 10 Bar wo kalimat Padhe
Step 7- Dusre Sajde Me Bhi Sajde ki Tasbeeh Ke Bad 10 Bar Wo kalimat Padhe
Step 8- Sajde Se Uth Kr Kooma Me Dursi Rakat Ke Liye Khade Hone Se Pehle 10 Bar wo kalimat Padhe
Padhne Ki Kalimaat 👇
سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ
" Subhaanallahi Wal hamdulillahi Wa laailaaha illallahu Wallaahu Akbar "
❉ Salatut Tasbeeh me koi bhi soorat padhi ja sakti he ,Albatta alal tarteeb " Takasur ,Asr , Kafiroon aur ikhlaas " aur kabhi " izazul ,aadiyaat ,izaajaa aur ikhlaas " ka padhna behtar he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
📚 Abu Dawood, Baab Salahtul Tasbeeh- 1297
📚 Muntakahab Hadees, Namaz-183
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.