📋 ZAKAT KIN CHEEZON ME FARZ AUR KIN ME NAHI?
⭕AAJ KA SAWAL NO.1690⭕
Zakat ka nisab banane me kon, kon si cheezon ko gina jayega aur kon kon see cheezon ko nahi gina jayega?
Yani zakat kin cheezon par farz hai aur kin cheezon par nahi?
🔴JAWAB🔴
sona, chandi, naqad rupiya aur bechne ki niyyat se khareeda huwa koi bhi maal, masalan plot,zameen,flat,makan, share, dukan ka har woh maal jo saal bhar rakhne se kharab nahi hota.
Kiraye amdani,wirasat ya hadiye me mila huwa rupiya in tamam cheezon ki qeemat lagai jayegi.
jo cheez bechne ki niyat se na khareedi ho masalan ayindah rehne ke liye ya bachchon ko dene ke liye khareeda huwa makan, flat,zameen wagairah, jo maal kharab ho jata hai masalan gosht, sabzi, fruit, dudh Aur dudh se bani hui cheezen me zakat farz nahi lihaza nisab banane me is tamam cheezon ko nahi shumar karenge.
📘Masaike zakat 2/145
🌙ISLAMI TAREEKH 2 SHA'BAN 1440 HIJRI
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhne
www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.