ZAKAT KE LIYE SAAL GUZARNE KI SHART
⭕AAJ KA SAWAL NO.1697⭕
Kiya zakat wajib hone ke liye har maal par saal guzrna zarooree hai?
Darmiyan me maal zakat ke nisab se ghat gaya aur darmiyan me naya mal bhi aata jata raha sab par zakat hai?
🔴JAWAB🔴
Zakat ke nisab par saal guzrna kafi hai har har mal par sal guzrna zarooree nahi, saal pura hote hee mavjoodah sab Maal, milkiyat ki zakat de, chahe baaz mal 1 maheen ya hafte pehle hee aaya ho to us ki bhi zakat de.
darmiyan me maal,nisab ki miqdar se kam raha tab bhi pure nisab ki zakat wajib hogi.
📗kitabul masail jild 2
safa 133 Se makhooz
📘bahawala maraqiyul falah 389
📕Alamgiri 1/175
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
09 SHABAN AL MUAZZAM 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻 http://aajkasawal.page.tl...http://aajkasawal.in
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.