PROVIDENT FUND PAR ZAKAT. 1
⭕AAJ KA SAWAL NO.1691⭕
🔵SAWAL🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
★ Provident fund me Jo Raqam mulazim ki tankhwah se kaati jati he aur us per Mahana ya Saalana izafa kiya jata he is par zakat ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
Ye sab mulazim ki khidmat ka wo muaawza he Jo abhi uske qabze me nahi aaya, Lihaza wo mahkame-company ke zimme mulazim ka qarz he,
★ Zakaat ke maamle me Fuqha ikraam Rh. ne qarz ki 3 qisme bayaan farmayi he, Jinme se baaz per zakaat waajib hoti he aur baaz per nahi hoti,
★ 1- Mulazim agar pehle se Sahibe Nisaab nahi tha, magar us raqam ke Milne se Sahibe Nisaab ho gaya to vasool hone ke waqt se ek Qamri-islami Saal pura hone per Zakaat waajib hogi, Ba-sharte us waqt tak ye shakhs Sahibe Nisaab rahe,
⇨Agar Saal pura hone se pehle Maal kharch hokar itna kam reh gaya k Sahibe Nisaab nahi raha to zakaat waajib nahi hogi,
⇨ Aur agar kharch ya Jaaya hone ke bavjood Saal ke akheer tak Maal ba-qadre nisaab bacha raha to jitna baqi bach gaya sirf uski zakaat waajib hogi, Jo kharch ho gaya uski nahi hogi,
—— To be continued,
in sha Allah ta’ala,
و اللہ اعلم
✏HAQQ KA DAYEE ANSAR AHMAD
✒TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.