TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Saturday, April 20, 2019

Sawal Aur Jawab: KAB AUR KITNE ROZE RAKHE?


KAB AUR KITNE ROZE RAKHE?

⭕AAJ KA SAWAL NO.1702⭕

Shabe barat ke kitne roze rakhne hai aur kab?
aur is raat ki ibadat kab aur kon se din karni hai?


🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Sha'ban ke mahine me huzoor صل اللہ علیہ وسلم kasrat se roze rakhte the jab puchha gaya to farmaya is raat me wafat ke fesle hote hai jab mera fesla ho to me pasand karta hun ke us waqt me roze se hun.
(AL HADEES)

wese har mahine me 13,14,15 ke roze jise ”ayyame beez“kehte Sunnat hai lihaza chaho to is mahine ne me kasrat se roze rakho, ya in tin din me rakh lo ya shabe barat ke dusre din ek roza rakh lo.

india me 20 april sanichar ke din magrib baad se subah sadiq tak puri raat ya aksar raat ya jis qadar himmat ho ghar me ibadat karni hai, aur itwar ke din 21 april  ko ek roza rakhna bhi kafi hai, do roze rakhne ka hukm aashurah ki tarah is mahine me nahi hai, albattah is mahine me jitne zayada roze ho sake rakha behtar hai, 15 shaban hi ke roze ko sunnat na samjhe.

📗MASAILE SHABE BARAAT WA SHABE QADR WA AL BALAG SE MAKHOIZ.

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
14 SHABAN AL MUAZZAM 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.