HUQQE KE NUQSANAT
⭕AAJ KA SAWAL NO.1684⭕
Huqqa kyun nahi pina chahiye ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Huqqa pine ke bahot nuqsanat hain isliye us se bachna hi chahiye us ke nuqsanat niche likhe jate hai.
1.Is me aese zahrile maadde-tatw hoti hain jis se munh ka cansar, fefde ka cansar aur dil ki bimariyon ka sakht khatra hai.
3.Quwwate mardangi me kami waqia hoti hai.
4.Shishe se nikalnewale dhunwe me bahut se zahrile madde hote hain masalan lesenic, lead, coblat wagerah.
5.Der tak istiamal karne ki surat me chronic (badan ka lagataar dard rehna), obstructive (fefde ki bimari), pulmonary (vayu marg ki bimari, asthama wagerah) bimari ho sakti hai
6.Fefde-fefse aur dusre aa'za-parts ko nuqsan pahonchata hai.
7.Aadmi ki aqal,aankh, kaan, naak Munh me Dhunwe kharabi paida hoti hai.
8.Jahanammiyon se musjabahat hai. Kyun us me munh aur naak se dhunwa nikalta hai.
9.Huqqa ka aadi is ko bura nahi samjhta hai, is se burai ki nafrat dil se nikal jati hai.
10.Huqqe ke aadi burai aur ganddagi ki aadi ho jate hai fir un ki zindagi me safai suthrai nahi rehti.
AGAR HUQQA KHUSHBUDAR SADE FALOUVER KA HO TO BHI NICHE LIKHE GAYE NUQSANAT HOTE HAI
1.Umooman is me mubtala (fanse huwe) log faraiz wagaira me kotahi aur susti baratte hain kam az kam dunyawizaroori kaamon me. Zaroor kami kotahi hoti hai.
2. is me maal ki barbadi hai
3.waqt kibarbadi hai.
4.Aksar raat ko der tak piya jata hai jis se fajr ki namaz hi ka ya us ki jamat chhutne ya susti ke sath ada hone ka sabab banta hai.
5.Ek hi pipe se kai log pite hai jis se T. B.Herpes jaisi bimariyon ke felne ka andesha hota hai.
Lihaza sada pina bhi munasib nahi us se bhi bachna hi behtar hai
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
24 RAJABUL MURAJJAB 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.in
http://aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.