TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Thursday, April 25, 2019

Salatul Hajat Namaz-Tarika


Salat-ul-Hajat ki namaz aqsar jab kabhi behad zaruriyat dar pesh ati hai to mushkilat ke hal ki niyat se parhi jati hai. Ise Qaza-e-Hajat ki namaz ya phir namaz-e-hajat bhi kaha jata hai. Salatul Hajat Namaz Step-by-Step Process. Ye nifli namaz hoti hai aur ise 2-2 rakat karke parha jata hai. Uske bad wahin beth kar hajat ki dua parhi jati hai. Phir ALLAH ke samne hajat pesh ki jati hai.

Salatul Hajat Kya Hai? Ta’arruf

Jab hamein koi hajat ya zarurat aan padti hai. To use ALLAH se puri karwane ke liye pahle ye char (4) raqat nifl namaz ada karte hai. Salatul hajat ki namaz wahi nifl namaz hoti hai. Iske bad apni hajat ki dua ki jati hai.

Kisi Bhi Salatul Hajat Ko Parhne ka Sahi Tariqa

Sabse aham bat, Jab hamein kisi se kuch chahiye hota hai. To ham use khush karne ki firaq mein lage rahte hai. Hai nah? To phir ALLAH se ham badi-badi hajatein qubul karne ki ummeed rakhte hai. Jab bhi koi zarurat ya masail aa jate hai to har pareshani ke hal ke liye dua karne lagte hai. Lekin kya ham ALLAH ko khush karne ki zara bhi sochte hai? Zara sochiyega! Jawab ayega, nahi!

To ALLAH se kuch mangne ke liye ALLAH ko khush karna zaruri hai. Salatul Hajat jiske zariye ham ALLAH se apni hajat puri karwate hai. Jab tak ye sahi tariqe se parhi nahi jayegi tab tak ALLAH ko khush kaise kiya ja sakta hai. Aur ALLAH jab khush nahi hoga to hamari dua qubool kaise karega.

To salatul hajat ka sahi tariqa malum hona laazmi hai. Jab sahi se ye hajat ki namaz parhi jayegi aur dili murad puri karne ke liye dua jab ham karenge to wo beshaq qubool hogi. Agar apki dua qubool nahi ho rahi hai to is link se har dua qubool hone ki dua ek bar zarur parhiyega.

Salatul hajat parhiye aur uske bad kisi bhi hajat ki qubuliyat ke liye dua kariye. ALLAH qubul farmayega. Ye sahaba Ikram ki adaton me shumar thi. Har wo mushkil masail unhone khas namaz salatul hajat ki namaz ke zariye ALLAH se hal karwa liye.

Salatul Hajat ki Dua #1 in English Transliteration

La ilaha illallahul Halimul karim. Subhanallahi Rabbil ‘Arshil ‘Azeem, Alhamdulillahi Rabbil Alameen. As-aluka Moojibaati Ra’hmatika Wa Azaa’ima maghfiratika Wal Ghanimataa Min Kulli Birrin.-Was-sSalamata Min Kulli Ismin La Tada’ Li Zan-mban Illa Ghafartahu Wa la Hamman Illa Farrajtahu. Wa la Haajatan hiya Laka Ridan Illa Qazaitaha. Ya Ar-‘hamar Raahimeena.

Salatul Hajat ki Dua #1 in English Translation

There is no god but ALLAH the Clement and Wise. There is no god but ALLAH the High and Mighty. Glory be to ALLAH, Lord of the Tremendous Throne. All praise is to ALLAH, Lord of the worlds. I ask you (O ALLAH) everything that leads to your mercy, and your tremendous forgiveness, enrichment in all good, and freedom from all sin. Do not leave a sin of mine (O ALLAH), except that you forgive it, nor any concern except that you create for it an opening, nor any need in which there is your good pleasure except that you fulfill it, O Most Merciful!

Safar ki Dua yahan dekhiye.

Salatul Hajat ki Dua #1 in Roman Urdu Translation

ALLAH ke siva koi aur mabood nahi wah burdbar buzurg hai. Pak hai ALLAH Ta’ala bade takht (arsh ‘azeem) ka malik. Aur sab taarifein ALLAH rabbul alameen ke liye hi hai. Sawal karta hu asbab aapki rahmat ke aur saman apki bakhshish ke aur hissa har neki se aur salamati har gunah se. Na chhorein mera koi gunah magar use bakhsh dijiye aur na koi pareshani magar ise door kar dijiye aur na koi hajat jo apki pasandidah ho magar ise poori kar dijiye ae sabse zyada raham karne wale.

Salatul Hajat ki Dua #2 in English Transliteration

ALLAHUMMA Inni As-aluka wa at wajjahu ilayka bi Mu’hammadin-Nabiyy-rRahmati ya Mu’hammadu Inni Qad Tuwajjahtu bika ilaa rabbi fee Hajatee Hazihi li-tuqzaa ilaa ALLAHUMMA fashaff’ihu Fiyya

Salatul Hajat ki Dua #2 in English Translation

O ALLAH, I ask you and turn to you, with your Prophet Mu’hammad ï·º, the Prophet of Mercy. O Mu’hammad, I turn with you, to my Lord, regarding my need, that You may Satisfy. O ALLAH, Allow him to intercede for me.

Salatul Hajat ki Dua #2 in Roman Urdu Translation

ya ALLAH main sawal karta hu aur apki taraf rukh karta hu, Apke Nabi Mu’hammad ï·º, Rahmat wale Nabi. ya Mu’hammad, main apke sath rukh karta hu, apne rabb ki taraf, meri zarurat ke liye, jise aap puri kar sakte hai. ya ALLAH ijazat dijiye unhe meri sifarish ke liye.

  English reference: Vol. 1, Book 5, Hadith 1385-Arabic reference: Book 5, Hadith 1448

Salatul Hajat ki Namaz ka Sahi Waqt Kya Hai?

Hajat ki salah kis waqt ada karni chahiye? Salatul Hajat ki namaz kisi bhi farz namaz ke bad bhi parh sakte hai. Ya phir jab nifl namaz ada karne ka sahi waqt ho us waqt bhi. Behtar hota hai jab salatul hajat bad namaz-e-zuhar, namaz-e-maghrib, ya namaz-e-isha parhi jaye. In auqat ke ilava bhi ise parh sakte hai. Bas niche diye hue waqt ko taal dijiyega.

Salatul Hajat ki namaz kis waqt nahi parhni chahiye? Salatul Hajat Fajr ki namaz ke bad suraj nikalne tak nahi parhiye. Aur asar ke bad suraj ghuroob (doobne) tak nahi ada karein. Wajah iski yahi hai ke in waqt ki auqat mein sajdah mana hai. Phir bhi Salatul hajat parhni hai to fajr ki namaz ke pahle aur asar ki namaz se qabl. Yani in dono namazo ke pahle ada ki ja sakti hai.

Adhi rat ke bad nind se jagkar waqt-e-tahajjud ho jata hai. Aur is waqt tahajjud ada karne ke bad salatul hajat ki namaz ada karne ka sahi waqt hota hai. Ap chahe to is waqt bhi salatul hajat ki namaz ada kar sakte hai.

Salatul Hajat Ki Namaz Kaise Padhe? Do (2) Tariqaqar

Is post me salatul hajat namaz padhne ke do (2) tariqe batayein gaye hai.

Pahla Tariqa: Salatul Hajat ki Namaz Kaise Padhe? Pahle tareeqe mein 2 raqat nifl ada karni hai. Aur salam ke bad koi bhi ek dua. Dua number 1 ya dua number 2 teen (3) martaba parhni hai. Tafseel mein is post me aage parhiye.

Dusra Tariqa: Salatul Hajat ki Namaz ada karne ke dusre tariqe mein ek salam se 4 raqat namaz ada karni hai. Har raqat mein Surah Fateha ke bad khas ek surah parhni hai. Is tariqe mein namaz ke bad koi bhi hajat ki dua nahi parhni hai. Bas ke dua mangne ka tariqa thoda khas hai. Tafseel mein is post me aage parhiye.

Salatul Hajat Mein Kya Parhte Hai?

Salatul hajat ke is dusre tariqe mein upar wali koi bhi duayein nahi parhni hai.


  • Jaise farz namaz parhte hai, chaaron raq’atein thik wese hi parhni hai. Farq sirf itna rahega, Awwal (1) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Ayatul Kursi teen (3) martaba parhiye.
  • Dusri (2) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Surah Ikhlas (Qul huwALLAHU A’had….) ek (1) martaba parhiye.
  • Teesri (3) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Surah Falaq (Qul Aa’oozu birabbil falaq….) ek (1) martaba parhiye.
  • Chauthi (4) raq’at mein Surah Fatiha ke bad Surah Naas (Qul Aa’oozu birabbinnaas….) ek (1) martaba parhiye.



Baqi ki namaz parhne ka tariqa pura hubahoo dusri farz namazon ki tarah hi rahega.

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.