RAJAB KE ROZE AUR KHAS NAMAZE
⭕AAJ KA SAWAL NO.1664⭕
Rajab ke mahine me rozon ki bahut fazeelaten Hadees ke hawalon se baaz kitab me likhi hai to kya woh saheeh hai rajab me roze rakhne chahiye?
🔵JAWAB🔵ؔ
Øامدا Ùˆ مصلیا مسلما
Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya muhtaram mahino me kabhi roza rakho kabhi chhod do.
📗ABU DAWOOD SHAREEFA HADEES NO. 2428
Barelvi hazrat aur dewbandi hazrat dono Maslak ke sartaaj aur maboob shakhsiyyat raeesul muhaddiseen hazrah shah abdul azeez muhaddise dehelvi Rahmatullahi alayhi ne mskhsoos mahino ke makhsoos saheeh aur galat fazeelat par kitab likhi jis me farmaya ke rajsb ke rozon aur namaz ki fazeelat ki jitni bhi riwayat hai woh bahoot hee zaeef (fazail me bhi na wabile aetibar)aur mavzooa_bsnawati hai.
📗MA SABAT MINAS SUNNAH SAFA 75
Allam ibne hajar asqalani Rahmatullahi alayhi ne rajab ke rozon aur namaz ki khas fazeelaton ki riwayat ko mavzooa sur banawati qarar diya hai
📙TABYEENUL AJAB SAFA 11
ALLAMAH SIYOOTI Rahmatullahi alayhi NE BHI YAHI LIKHA
📘AL LAALIYUL MASNOOAA FEE AHAADEESIL MAVZOOAA JILD 2 SAFA 97 SE 99
📕MULLA ALI QARI RAHMATULLAHI ALAYHI KI KITAB AL MASNOOA FEE MA'RIFIL AHAADEESIL MAVZOOA SAFA 261
Lihaza rajab rozon ko namaz ki fazeelat ki riwayaton ko chhapna aur use kisi ko bhejna jaiz nahi.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.