GHUTNO SE FATI PENT ME NAMAZ
⭕AAJ KA SAWAL NO.1655⭕
Ghutno se aur raan se pent fati ho to aesi pent me namaz oadh sakte ya aesi pent me namaz chhid deni chahiye?
🔵JAWAB🔵ؔ
حامدا و مصلیا مسلما
Aesi pent pehnna jaiz nahi bada gunah hai jis ki tafseeeli hukm kal ke msj me guzar chuka rahi baat namaz ki to dono peron me se har ek raan us ke ghutno ke sath milkar alag alag ek uzw-part shumar hota hai gutna raan me shamil hai agar pent me ghutno aur raan ki fatan dono milkar raan ke chothai-25% se kam hai to namaz karahat ke sath ho jayegi agar woh fatan raan ki chothai jitna hai aur namaz me khula rahe to namaz nahi hogi.
Aaj kal jo pent hamare navjawan pahente hai us ki fatan raan ki chothai se kam hoti hai lihaza nanaz wese libas me bhi nahi chhodni chahiye balke us libas ko chhod dena chahiye.
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.