TELEGRAM CHANNEL

TELEGRAM CHANNEL
TELEGRAM CHANNEL

Youtube Channel Subscribe Plz

Most Popular Videos

Download Books

Quran-Roman||

Quran Roman English||

TafsirIbnKathir||

Quran-Urdu||

Yaseen Sharif Roman English||

Yaseen With Meaning||

Quran-Hindi||

Quran-English||

Sahih Bukhari||

Yaseen Telugu||

QuranRomanEnglish||

Daily Namaz Suras & Duas

Quran Audio

Subah Ke Azkar||

Monday, February 11, 2019

Sajda-e-Tilawat Kise Kehte hain?


Sajda-e-Tilawat Kise Kehte hain

Jab Quran Me Koi Ayat Aisi Aati hai Jisme Ki Allah Ne
Sajda Karne Ka hukm Dia ho
Us Ayat ko Ayaate Sajda Kehte hain
Quraan Me Aisi Ayaaten Kul 14 Jagah hai
Aur Sajde ki Pahli Ayat 9 me Paare me hai
Sajda-e-Tilawat Kaise Karen
Sadae-e-Tilawat Usi Tarah kia Jaata
hai Jaisa ki hum
Namaz Me Sajde kerte hain
Par Isme Sirf Yeh Fark hai
ki Isme Aapko Sirf Ek Sajda karna hai
Aur Namaz me 2 Sajde Hote hain

Sajda-e-Tilawat Karne Ka Treeqa
Kaabe ki Taraf Munh Karke
Khade Hokar
"AllahuAkber" kehte Hue Sajde
Me Chale Jaye Aur
3 Baar "Subhana Rabbi YalAala" kahen
Fir AllahuAkber Kehte hue
Khade hojae,
Ye Sirf Ek Ayaat ka Sajda hua hai
Agar Aapke zimme Kai Sare Sajda-e-Tilawat hai to
Utni hi Baar Sajde Kare Aur Saare Sajdo se BariuZimma Hojaen

Mas'Ala:
Quraan me 14 Sajde hain
Yaani Jin Ayaaton me Sajda
Aya hai Wo 14 hain
Jinke Padhne Ya Sunne Wale dono
Par Sajda Karna Wajib Hota
hai
(Durrre Mukhtar)


Mas'Ala:
Namaz me Agar Ayate Sajda
Padhi Jaye to
NamaZ hi mein Sajda
karna Wajib hota hai
Jaisa ki Aapne Ramzano me Taravih Padhte Waqt Imaam
Ko Dekha Hoga ki Ayaate Sajdah Aane Par Fouran
Sajda Karta hai
(Durre Mukhtar jild 1 Page 518)


Mas'Ala:
Agar Ayate Sajdah Namaz Ke Baher Padhi Ya Suni
To Fouran Sajda karna Waajib nahi
Par Behtar Yahi hai
Ki Agar Sajda karne ki Sahih Jagah Moujood ho to
Fouran Sajdah Karne Warna Bhoolne Ka Andesha rehta hai
(Durre Mukhtar Jild 1 Page 518)

Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣



SOURCE:

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.