┐✭ ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ✭┌
° JUMMA KE DIN KE FAZAYIL °
🍁 JAB JUMMA KA DIN AATA HE🍁
🌻 Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab Jumma ka din hota hai to farishte masjid ke darwaze par khade ho jate hain aur pahle aane wale Name pahle uske baad aane wale ka naam Uske Baad likhte he ( Issi Tarah Aane wale ka name uski Tartib se Likhte he) Jo Shakhs Jumma ki Namaz ke liye Sawere jata he Use Unt Sadka karneka ka Sawab milta he, uske Baad aane wale ko Gaay Sadka Karne ka sawab Milta he, uske Baad aane wale ko Mendha, uske baad wale ko Murgi, Uske baad wale ko anda Sadka karne ka Sawab milta he, Jab Imaam Khutba dene ke liye Aata he farishte Apne woh Razishter jinme aane wale ka name likhhe gaye he Lapet Dete he Aur Khutba sunne me mashgul ho jate he
🍁 JUMMA KE DIN KI FAZILAT PICHHLI UMMAT SE ZYADA 🍁
🌻 Rasoolullah ﷺ Ne irshaad Farmaya
Allah Ta'ala ne Hamko Jumma Ka din dekar Pichhli Ummat par Fazilat di he, Yahudi O ko Shanivar (Saturday) diya, Isaio ko Ravivar (Sunday) Diya Woh Log Qayamat Tak Hamse Pichhe Rahege Ham Duniya me sabse Aakhir aaye aur Qayamat ke din hamari Magfirat Sabse Pahle Hogi
📚 ° Muslim, Rahmate ilahike Khazane / safa 116/117) °
🍁 NAMAZE JUMMA KE LIYE PAIDAL JAANE KI FAZILAT 🍁
🌻 Yajid Bin Abi maryam Rahmatullahi Alaih Farmate he Ke Me Jumma ki Namaz ke liye paidal jaa Raha tha ke Hazrat Abaya bin Rafi Rahmatullahi Alaih Muje Mil gaye aur farmane lage : Tumhe Khush - Khabri ho ke Tumhare Yeh kadam Allah Ta'ala ke Raste me he.mene Abu Abs Razi allahu Ta'ala anhu se Yeh farmate hua suna he ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya :Jiske Kadam Allah Ke Raste me Gubar - Aalud ho ( gande) Hue to Woh kadam Dozakh Ki Aag par Haraam he
🍁 JUMMA KE DIN JALD MASJID JANE KI FAZILAT 🍁
🌻 Rasoolullah ﷺ Ne irshaad Farmaya Jumma ki hazri me jo Tartib hogi Wahi Tartib se allah ke Pass bithaya jayega, Lekin Jo pehle aaya Woh Woh Qayamat me Allah se Bilkul karib hoga, Dusra Dusre number par, Tisra Tisre number par, Chotha Number wala bhi Allah se Ziyada dur Na Hoga
📚 ° Ibne Mazah, Rahmate ilahike Khazane / safa 113) °
🍁 JUMMA KE DIN DUA QABUL KE LIYE KHAS WAQT 🍁
🌻 Hadis ka Mafhum: Abu hurairah razi allahu Ta'ala anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jumma mein ek ghadi aisi aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega
📚 ° Sahih Bukhari, Jild 6, 5294 °
🌻 Anas bin malik Razi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jumma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo🌻
📚 ° Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471 °
🌻 RasuLuLLahﷺ ne irshaad farmaya:
Jis shakhs ne apney walidein ya dono me se kisi Aik ki Qabr ki har Jumaa ko ziyarat ki,
to us ki magfirat kar di jaeygi,
aur usey neik suluk karney wala likha jaeyga.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.