⊗━┉═┉━⊗━┉═┅━⊗
Aao
Sunnat Ki
Itteba kare.
◯┅┅═┅┅═┅┅═┅┅◯
︽︽︽︽︽︽︽
P O S T - 04
︾︾︾︾︾︾︾
🌴Roman English🌴
Aap ﷺ Ki Zindagi Humhare Liye Behtareen Namuna Hai.
Bahar-Haal Hamari Aap Sab Ki Deen Aur Dunya Ki Salah Va Falah Ittibae Sunnat Par Moqoof Hai,
Chunanche Farsi Ka Ek Sher Hai, Jiska Tarjama Ye Hai, Jo Shakhs Aap ﷺ Ke Tareeqe Ke Alawa Kisi Aur Raaste Se Allah Tak Pohochana Chahe, To Wo Nahi Pohch Sakta, Chahe Wo Kitni Hee Koshish Karle,
Aap ﷺ Ko Is Liye Bheja Ke Allah Ne Insan Ki Fitrat Aisi Banai Hai Ke Insan Ki Islah Aur Tarbiyat Aur Tazkiyah Ke Liye Sirf Kitab Kaafi Nahi Thi, Agar Koi Shakhs Ye Chahe Ke Kitab Padh Kar Aur Iske Likhe Huve Ko Padh Kar Meri Islah Ho Jaye, To Kabhi Uski Islah Nahi Ho Sakti. Janwaro Ko Muallim Aur Murabbi Ki Zaroorat Nahi Jab Ke Bahut Se Hewanat Me Ye Baat Nahi, Masalan Murgi Ka Chooza Hai, Usko Dana Chugne Ke Liye Kisi Muallim Murabbi Ki Zaroorat Nahi, Allah Ne Uski Fitrat Me Ye Baat Rakh Di Hai, Lekin Agar Insan Ka Bachha Paida Hua Hai, Aur Uske Samne Roti Ka Tukda Dal Do, Usko Roti Khana Nahi Aayega, Jab Tak Ek Muddat Tak Maa Baap Ko Roti Khata Hua Nahi Dekhega, Aur Roti Khane Ki Tarbiyat Nahi Lega, Us Waqt Tak Usko Roti Khana Nahi Aayega.
🌴Hindi (हिंदी)🌴
आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की ज़िंदगी हमारे लिए बेहतरीन नमूना है
चुनान्चे फारसी एक शेर है, जिसका तर्जुमा ये है, जो शख्स आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के तरीके के अलावा किसी और रास्ते से अल्लाह तक पहुँचना चाहे , तो वो नही पहुँच सकता, चाहे वो कितनी ही कोशिश कर ले,
लिहाज सबसे पहले ये बात समझने की जरूतर है कि ये इत्तिबाये सुन्नत क्यों जरूरी है? चुनान्चे ये आयत ,
(सूरे अहज़ाब,21) तुम्हारे लिए अल्लाह के रसूल की जात में, उसके तरीके जिंदगी में, और उनकी हयाते तैय्यबा में बेहतरीन नमूना है.
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.