🌷 ▫ Aaj Ki Hadees ▫ 🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hazrat Usman Raziyallahu 'anhu ke Aazaad karda ghulam Hazrat Haani Rahimahullahu farmate hain ke Hazrat Usman (Raziyallahu 'anhu) jab kisi qabr ke paas khadhe hote to bahut rote yahan tak ke aansuon se apni dadhi ko tar kar dete. Unse arz kiya gaya (ye kya baat hai) ke aap Jannat wa Dozakh ke tazkire par nahi rote aur qabr ko dekhkar is qadr rote hain? Aap ne farmaaya ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qabr aakhirat ki manzilon mein se pehli manzil hai agar banda is se najaat pa gaya to aage ki manzilein isse zyaada aasaan hain, aur agar is manzil se najaat na pa saka to baad ki manzilein usse zyaada sakht hain (neez) Rasullulah ﷺ ne ye irshaad farmaaya maine koi manzar qabr ke manzar se zyaada khaufnaak nahi dekha. (Tirmizi: 2308)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🌷▫ Hadith of the Day ▫🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Nu'man ibne-Bashir Radiyallahu 'anhuma narrates Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said: Indeed Allah inscribed a book, two thousand years before creating the heavens and the earth. He sent down two verses with which He ended Surah Al-Baqarah. When these verses are being recited in a house for three nights, Shaitan will not come near it. (Tirmidhi: 2882)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
📲 Download App -
Goo.gl/9ZbYUe
No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.